✾ Sawaal: Madeenah Munavvarah hijrat karne waale sahaaba-e-kiraam RaziyAllahu Anhuma ko kya kehte hain?
✾ Jawaab: Madeenah Munavvarah hijrat karne waale sahaaba-e-kiraam RaziyAllahu Anhuma ko "Muhaajireen" kehte hain. [Tafseer-e-Khaazin: 3/54]
✾ Sawaal: Madeenah Munavvarah mein muhaajireen ki madad karne waale sahaaba-e-kiraam RaziyAllahu Anhuma ko kya kehte hain?
✾ Jawaab: Madeenah Munavvarah mein muhaajireen ki madad karne waale sahaaba-e-kiraam RaziyAllahu Anhuma ko "Ansaar" kehte hain. [Tafseer-e-Khaazin: 3/54]
✾ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ ne haj kab kiya?
✾ Jawaab:* Hamaare Nabi ﷺ ne san 10 hijri main haj kiya. [Albidaayah Wannihaayah: 5/109]
✾ Sawaal: Us haj ko kya kehte hain?
✾ Jawaab: Us haj ko "Hajjatul-Wada" kehte hain. [Albidaayah Wannihaayah: 5/109]
✺ Ref: Deeniyat Course book