Pages

9/18/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-59)

Bahaaduri

✺ Ubai bin Khalf Aap ﷺ ka Jaani dushman tha. Woh bada bahaadur aur phurteela sipaahi tha. Woh 1000 bahaaduron ke baraabar samjha jaata tha. Uhud ki ladaai mein woh apne mazboot ghode par sawaar ho kar aaya. Woh Huzoor ﷺ ki taak mein tha. Ek baar woh ghoda udaata chala. jo saamne aaya use hata diya. Seedha Aap ﷺ par hamla karne badha. Musalmaanon ne yeh dekha to ghabra gaye. Sab badhe ke use roke.

✺ Aap ﷺ ne farmaaya: "Aane do." Sahaaba RaziyAllahu Anhuma alag hat gaye. Aap ﷺ neza le kar badhe us ke paas pahonche aur dheere se neze ki nok us ki gardan mein chubhodi. Bas itne mein woh cheekh maar kar bhaaga. Use cheekhte chillaate dekha to us ke saathiyon ne kaha: Are tu aisa bahaadur aur itni si chot kha kar buri tarah chinghaad raha hai. Us ne jawaab diya: "Haan, tum sach kehte ho. lekin yeh Muhammad ke haath ki chot hai."

✺ Aise bahaadur the hamaare pyaare Nabi ﷺ.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment