Pages

10/2/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-73)

Afw wa darguzar

✺ Allah ka Deen phailaane ke silsile mein kaafiron ne Aap ﷺ ko gaaliyaan deen. Aap ﷺ ki hansi udaai. Aap ﷺ ko bura kaha. Aap ﷺ ko maara peeta. Aap ﷺ ko sataaya. Aap ﷺ ka boycott kiya. Qatl karne ki koshishein keen. Lekin jab Allah ne Aap ﷺ ko taaqat wa galba ata kiya to Aap ﷺ ne kisi se badla nahin liya. Aisi bahot si baaton mein se kuchh baatein suniye.

✺ Hazrat Hamzah RaziyAllahu Anhu Aap ﷺ ke pyaare chacha the. Bade bahaadur aadmi the. Islaam ke liye kaafiron se khoob lade, un ke saamne Huzoor ﷺ ko koi bura kehta to lad padte, kaafiron ke bade bade sardaar un ke haathon maare gaye. Ek ladaai mein wahshi ne chhup kar Aap RaziyAllahu anhu ko shaheed kar diya. Hazrat Hamzah RaziyAllahu Anhu ke marne ka Huzoor ﷺ ko umr bhar gam raha.

✺ Phir jab Makkah fateh hogaya to wahshi Huzoor ﷺ ki khidmat mein aaya aur maafi maangi. Wahshi ko dekh kar Huzoor ﷺ ko chacha yaad aagaye. Aap ﷺ ne un se sirf yeh kaha: "Achchha jaao, maaf kar diya, lekin ab mere saamne na aana, tum ko dekh kar chacha Hamzah yaad aa jaate hain." Abu Sufyaan ki biwi Hinda ne Hazrat Hamzah RaziyAllahu Anhu ka seena cheer kar gusse mein kaleja chaba daala aur naak kaan kaat kar haar banaaya lekin jab Hinda ne aakar maafi maangi to use bhi maaf kar diya.

✺ Ref: Deeniyat Course book
❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment