Pages

3/4/17

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-84)

❖ Sawaal Jawaab ❖
✾ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ ki daadi ka naam kya hai?
✾ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ ki daadi ka naam Faatima hai. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/318]
✾ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ par pehli aayat kahaan naazil hui?
✾ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ par pehli aayat "Gaar-e-Hira" mein naazil hui. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 2/70]
✾ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ Gaar-e-Hira main kya karte the?
✾ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ Gaar -e-Hira mein Allah Ta'ala ki ibaadat karte the. [Sahih Bukhari: 3]
✾ Sawaal: Dean ki khaatir ek jagah chhod kar doosri jagah chale jaane ko kya kehte hain?
✾ Jawaab: Deen ki khaatir ek jagah chhod kar doosri jagah chale jaane ko "Hijrat" kehte hain. [Tafseer-e-Qurtubi : 10/107]
Ref: Deeniyat Course book
❥❥ Share this on:
Email | Telegram | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment