❖ Hamaare Nabi ﷺ ka khaandaan ❖
✺ Arab mein paani bahot kam hai, Makkah waalon ke liye "Zam Zam ka kunwa" Allah Ta'ala ki bahot badi nemat hai, magar ek arse se woh mitti se bhar kar zameen ke baraabar ho gaya tha. Kisi ko yeh khabar na thi ke woh kahaan hai, Abdul Muttalib ne koshish kar ke pata lagaaya. Badi mehnat se use saaf karaaya. Makkah waalon ko paani ki aasaani ho gai, is ehsaan ki wajah se Makkah ke log un ki badi qadr karte the.
✺ Abdul Muttalib ke kai bete the. Un mein sab se chhote aur chaheete Abdullah the. Yahi Abdullah pyaare Rasool ﷺ ke abbu miyaan the. Abdullah ki shaadi Bibi Aamina se hui thi. Bibi Aamina Pyaare Rasool ﷺ ke ammi jaan theen.
✺ Abdullah pyare Rasool ﷺ ki paidaaish ke kuchh din pehle hi inteqaal farma chuke then. Daada miyaan Abdul Muttalib zinda the, unhon ne hamaare Nabi ﷺ ki paidaaish ki khabar suni, to bahot khush huwe, ghar aaye, pote ko god mein liya, pyaar kiya, Ka'aba mein le gaye, wahaan dua maangi, Muhammad naam rakha, saatwein din aqeeqa kiya, sab ki da'awat ki, logon ne poochha yeh naam kyun rakha, bole main chaahta hoon ke mere bete ki saari duniya ta'areef kare, Allah ne un ki aarzu poori ki. Darood ho pyare Rasool par, salaam ho pyaare Rasool par.
✺ Ref: Deeniyat Course book
❥❥ For Previous parts visit SeeratunNabisaw.blogspot.com
0 comments:
Post a Comment