Pages

3/6/17

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-86)

Sawaal Jawaab

✾ Sawaal: Hijrat ke waqt hamaare Nabi ﷺ ke saath kaun the?

✾ Jawaab: Hijrat ke waqt hamaare Nabi ﷺ ke saath Hazrat Abu bakr RaziyAllahu Anhu the. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 3/11]

✾ Sawaal: Hamaare Nab ﷺ Madeenah Munavvarah shaher mein kis din daakhil huwe?

✾ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ Madeenah Munavvarah shaher mein juma ke din daakhil huwe. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 3/22]

✾ Sawaal: Madeenah Munawarah mein hamaare Nabi ﷺ kin ke mehmaan rahe?

✾ Jawaab: Madeenah Munawarah mein hamaare Nabi ﷺ Hazrat Abu Ayyub Ansaari RaziyAllahu Anhu ke mehmaan rahe. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 3/24]

✾ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ ne Madeenah Munavvarah pahonch kar pehla kaam kya kiya?

✾ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ ne Madeenah Munavvarah pahonch kar sab se pehle masjid banwaane ka kaam kiya. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 3/24]

✾ Sawaal: Us masjid ko kya kehte hain?

✾ Jawaab: Us masjid ko "Masjid-e-Nabavi" kehte hain. [Mirqaatul Mafaateeh: 2/417]

✺ Ref: Deeniyat Course book
Share on: 

0 comments:

Post a Comment