Pages

8/8/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-38)

Badr aur Uhud ki ladaaiyaan

✺ Madeenah mein musalmaanon ko hijrat ke doosre saal hi ek badi jang karni padi, yeh Islaam ki sab se pehli jang thi, us ko "Gazwa-e-Badr" kehte hain, jis mein musalmaan sirf 313 the, jab ke kuffaar-e-makkah ki ta'adaad 1000 ke qareeb thi aur un ke paas har qism ke saaz-o-saamaan aur jangi hathyaar the.

✺ Lekin Allah ki madad se musalmaan jeet gaye aur kaafir haar gaye, is ladaai mein Abu Jahal aur Utba jaise bade bade sardaar maare gaye, Badr ke ek saal baad Uhud ki ladaai pesh aayi.

✺ Uhud ki ladaai bahot hi sakht thi, is ladaai mein musalmaan pehle jeet gaye, kaafiron ki haar hui, khushi mein musalmaan apne pehre se hat gaye, is se musalmaanon ka bada nuqsaan huwa, hamaare Nabi ﷺ ke do daant bhi shaheed ho gaye, magar musalmaanon ne jama ho kar dobaara hamla kiya, aakhir Allah kl madad aayi kaafir bhaagne lage, musalmaanon ne unka peechha kiya aur Allah ne musalmaanon ko fatah di. is ladaai mein 70 sahaaba-e-kiraam RaziyAllahu anhuma shaheed ho gaye.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment