Pages

10/12/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-83)

❖ Sawaal Jawaab ❖

✾ Sawaal: Waalida ke inteqaal ke waqt hamaare Nabi ﷺ ki umr kitni thi?

✾ Jawaab: Waalida ke inteqaal ke waqt hamaare Nabi ﷺ ki umr chhe saal thi. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/305]

✾ Sawaal: Waalida ke inteqaal ka baad hamaare Nabi ﷺ kis ke paas rahe?

✾ Jawaab: Waalida ke inteqaal ke baad hamaare Nabi ﷺ apne daada Abdul Muttalib ke paas rahe. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/306]

✾ Sawaal: Daada ke inteqaal ke waqt hamaare Nabi ﷺ ki umr kitni thi?

✾ Jawaab: Daada ke inteqaal ke waqt hamaare Nabi ﷺ ki umr aathh saal thi. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/307]

✾ Sawaal: Daada ke inteqaal ke baad hamaare Nabi ﷺ kis ke paas rahe?

✾ Jawaab: Daada ke inteqaal ke baad hamaare Nabi ﷺ apne chacha Abu Taalib ke paas rahe. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/318]

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:
Email | Telegram | WhatsApp

10/11/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-82)

❖ Sawaal Jawaab ❖

✾ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ ka ta'alluq Arab ke kis qabeele se hai?

✾ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ ka ta'alluq Arab ke qabeele "Quraish" se hai. [Timizi : 3606]

✾ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ ke naana ka naam kya hai?

✾ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ ke naana ka naam "Wahab Bin Abde Munaaf" hai. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/238]

✾ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ ki naani ka naam kya hai?

✾ Jawaab: Hamaara Nabi ﷺ ki naani ka naam "Barrah" hai. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/238]

✾ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ ke waalid ka inteqaal kab huwa?

✾ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ ke waalid ka inteqaal hamaare Nabi ﷺ ki paidaaish se pehle huwa. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/294]

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:
Email | Telegram | WhatsApp

10/10/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-81)

❖ Sawaal Jawaab ❖

✾ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ Madinah mein kitne saal rahe?

✾ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ Madinah mein 10 saal rahe. [Sahih Bukhari: 3851]

✾ Sawaal: Kya hamaare Nabi ﷺ ke baad koi nabi aayega?

✾ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ ke baad koi nabi nahin aayega. [Abu Dawud: 4252]

✾ Sawaal: Jin logon par nabi bheje jaate hain un logon ko kya kaha jaata hai?

✾ Jawaab: Jin logon par nabi bheje jaate hain un logon ko us nabi ki ummat kaha jaata hai. [Alqamoos-ul-Muheet: Lafz Ummah]

✾ Sawaal: Ham kis Nabi ki ummat hain?

✾ Jawaab: Ham Hazrat Muhammad ﷺ ki ummat hain.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:
Email | Telegram | WhatsApp

10/9/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-80)

❖ Sawaal Jawaab ❖

✺ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ ko nubuvvat kab mili?

✺ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ ko nubuvvat 40 saal ki umr mein mili. [Sahih Bukhaari: 3851]

✺ Sawaal: Arab ke log hamaare Nabi ﷺ ko kya kehte the?

✺ Jawaab: Arab ke log hamaare Nabi ﷺ ko Saadiq (sachcha) aur Ameen (amaanatdaar) kehte the. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/94]

✺ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ Makkah mein kitne saal rahe?

✺ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ Makkah mein 53 saal rahe. [Sahih Bukhaari: 3851]

✺ Sawaal: Sab se aakhri nabi kaun hain?

✺ Jawaab: Sab se aakhri nabi Hazrat Muhammad ﷺ hain. [Abu Daawood: 4252]

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:
Email | Telegram | WhatsApp

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-79)

❖ Sawaal Jawaab ❖

✺ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ ke chacha (jinhon ne Aap ﷺ ki parwarish ki) ka naam kya hai?

✺ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ ke chacha ka naam (jinhon ne Aap ﷺ ki parwarish ki) Abu Taalib hai. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/318]

✺ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ ke kitne bete the?

✺ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ ke teen bete the;

(1) Abdullaah RaziyAllahu Anhu,
(2) Qaasim RaziyAllahu Anhu,
(3) Ibraheem RaziyAllahu Anhu.

✺ [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/264]

✺ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ ki kitni betiyaan theein?

✺ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ ki chaar betiyaan theein;

(1) Zainab RaziyAllahu Anha,
(2) Ruqaiyya RaziyAllahu Anha,
(3) Umme Kulsum RaziyAllahu Anha,
(4) Faatima RaziyAllahu Anha.

✺ [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/264]

✺ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ ki umr mubaarak kitni thi?

✺ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ ki umr mubaarak 63 saal thi. [Sahih Bukhaari : 4466]

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:
Email | Telegram | WhatsApp

10/7/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-78)

❖ Sawaal Jawaab ❖

✾ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ kab paida huwe?

✾ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ Rabi-ul-Awwal ke maheene mein peer ke din paida huwe. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/294]

✾ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ ke waalid ka naam kya hai?

✾ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ ke waalid ka naam Abdullaah hai. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/294]

✾ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ Ki waalida ka naam kya hai?

✾ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ ki waalida ka naam Aamina hai. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/305]

✾ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ ke dada ka naam kya hai?

✾ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ ke dada ka naam Abdul Muttalib hai. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/305]

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:
Email | Telegram | WhatsApp

10/5/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-77)

❖ Sawaal Jawaab ❖

✺ Seerat ke is mazmoon ke tahat Islaami Maaloomaat ke tarz par sawaal-o-jawaab ka hi andaaz ikhtiyaar kiya gaya hai. Hamaare Nabi ﷺ ki zindagi ke baare mein un baaton ko jama kiya gaya hai jin ka jaanna bahot zaroori hai.

✺ In tamaam sawaalaat ke jawaabaat ko ijtemaai taur par yaad kara diye jaayein.

✾ Sawaal: Nabi kise kehte hain?

✾ Jawaab: Nabi Allah Ta'ala ke nek bande hote hain, jo Allah Ta'ala ke ahkaam Allah ke bandon tak pahonchaate hain.

✾ Sawaal: Hamaare Nabi ka naam kya hai?

✾ Jawaab: Hamaare Nabi ka naam Hazrat Muhammad ﷺ hai. [Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/237]

✾ Sawaal: Hamaare Nabi ﷺ kahaan paida huwe?

✾ Jawaab: Hamaare Nabi ﷺ Makkah Mukarramah mein paida huwe. [A'alaamun Nubuvva : 1/198]

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:
Email | Telegram | WhatsApp

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-76)

❖ Akhlaaq wa Aadaat ❖
✺ Hamaare Nabi ﷺ sab se muhabbat se milte the, Aap kisi ko bura bhala nahin kehte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ bahot bahaadur aur taaqatwar the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ mazboot iraade waale aur buland himmat the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ bahot sakhi the, kabhi kisi ko khaali haath nahin lautaate the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ kabhi apni zaat ke liye kisi se badla nahin lete the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ takleef pahonchaane waalon ke liye duaa-e-khair karte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ susti aur kaahili ko bahot na pasand farmaate the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ ameer-o-gareeb, aaqaa-o-gulaam har ek ke saath baraabari ka sulook karte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ apne oopar zulm karne waalon ko maaf kar diya karte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ bahot sharmeele the, hamesha nigaah neechi rakhte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ khaane peene aur pehanne mein saadgi ikhtiyaar karte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ bahot mehmaan nawaaz the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ musee-baton aur aazma-aishon par sabr karte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ Allah ki bahot ziyaada ibaadat karte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ ghar ke chhote mote kaam khud kar liya karte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ safaai ko pasand karte the aur gandagi se nafrat karte the.
✺ Ref: Deeniyat Course book
❥❥ Share this on:
Email | Telegram | WhatsApp

10/4/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-75)

❖ Jism-e-Mubaarak ❖

✺ Pyaare Nabi ﷺ na ziyaada lambe the na chhote qad. Na ziyaada duble the na mote. Aap ﷺ ka sar bada tha, peshaani chaudi, naak lambaai liye huwe, bhawein ghani, palkein lambi, aankhein badi badi aur surmageen, daadhi bhari huwi, gardan oonchi aur chehra khada khada tha. Aap ﷺ ke chehre par ziyaada gosht na tha. Aap ﷺ ke baal na ziyaada ghungriyaale the aur na bilkul seedhe. Aakhir umr tak baal bilkul kaale rahe. Aap ﷺ un mein aksar tel daalte. kanghi karte aur maang nikaalte the.

✺ Aap ﷺ ke donon shaanon ke beech-o-beech kabootar ke ande ke baraabar ubhra huwa surkh gosht tha, jis par til aur baal the. Donon shaane gosht se bhare huwe the, mondhon ki haddiyaan badi thien, hatheliyaan chaudi aur narm, kalaaiyaan lambi aur naazuk, paaon ki ediyaan halki theen. Paaon ke talwe beech se zara zara khaali the. Talwon ke beech se paani nikal jaaya karta tha. Huzoor ﷺ ke jism-e-mubaarak ki jild badi narm aur mulaayam thi.

✺ Rang roop gora chatta surkhi ki jhalak liye huwe tha. Aap ﷺ bade hi khoobsoorat the. Jo dekhta us ke dil mein Aap ﷺ ki muhabbat paida hojaati. Aap ﷺ ka paseena moti ki tarah jhalakta aur us mein badi achchhi khusbu aati. Huzoor ﷺ badi tez chaal chalte the. Chalte waqt aisa maaloom hota ke jaise Aap ﷺ dhalwaan zameen se utar reahe hain.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:
Email | Telegram | WhatsApp

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-74)

❖ Afw wa darguzar ❖

✺ Hubaar bin Aswad Huzoor ﷺ ka kattar dushman tha. Huzoor ﷺ ki pyaari beti Hazrat Zainab RaziyAllahu Anha Makkah se Madeenah ko hijrat karne lagi to Hubaar dauda aur un ko oont par se gira diya. Hazrat Zainab RaziyAllahu Anha ke itni chot aayi ke woh zinda na reh sakeen lekin jab us ne aakar maafi maangi to use bhi maafi dedi.

✺ Huzoor ﷺ hijrat ke liye Makkah se nikle to Makkah ke kaafiron ne yeh elaan kiya ke jo Muhammad ka sar kaat laaye, use surkh baalon waale 100 oont inaam mein diye jaaeinge. Laalchi kaafir daud pade. Ek kaafir tha "Suraaqa", woh ghode par sawaar huwa Huzoor ko talaash karta huwa paas pahonch gaya. Chaaha ke waar kare ke us ka ghoda ghutnon tak baalu mein dhans gaya. Ghode se utar kar lagaam pakad kar ghode ko kheencha. Ghode ko baalu se nikaala phir badha lekin ghoda phir ghutnon tak dhans gaya. 3 baar aisa hi huwa. Ab woh ghabraaya. Us ne maafi maangi, Aap ﷺ ne use bhi maafi de di.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:
Email | Telegram | WhatsApp

10/2/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-73)

Afw wa darguzar

✺ Allah ka Deen phailaane ke silsile mein kaafiron ne Aap ﷺ ko gaaliyaan deen. Aap ﷺ ki hansi udaai. Aap ﷺ ko bura kaha. Aap ﷺ ko maara peeta. Aap ﷺ ko sataaya. Aap ﷺ ka boycott kiya. Qatl karne ki koshishein keen. Lekin jab Allah ne Aap ﷺ ko taaqat wa galba ata kiya to Aap ﷺ ne kisi se badla nahin liya. Aisi bahot si baaton mein se kuchh baatein suniye.

✺ Hazrat Hamzah RaziyAllahu Anhu Aap ﷺ ke pyaare chacha the. Bade bahaadur aadmi the. Islaam ke liye kaafiron se khoob lade, un ke saamne Huzoor ﷺ ko koi bura kehta to lad padte, kaafiron ke bade bade sardaar un ke haathon maare gaye. Ek ladaai mein wahshi ne chhup kar Aap RaziyAllahu anhu ko shaheed kar diya. Hazrat Hamzah RaziyAllahu Anhu ke marne ka Huzoor ﷺ ko umr bhar gam raha.

✺ Phir jab Makkah fateh hogaya to wahshi Huzoor ﷺ ki khidmat mein aaya aur maafi maangi. Wahshi ko dekh kar Huzoor ﷺ ko chacha yaad aagaye. Aap ﷺ ne un se sirf yeh kaha: "Achchha jaao, maaf kar diya, lekin ab mere saamne na aana, tum ko dekh kar chacha Hamzah yaad aa jaate hain." Abu Sufyaan ki biwi Hinda ne Hazrat Hamzah RaziyAllahu Anhu ka seena cheer kar gusse mein kaleja chaba daala aur naak kaan kaat kar haar banaaya lekin jab Hinda ne aakar maafi maangi to use bhi maaf kar diya.

✺ Ref: Deeniyat Course book
❥❥ Share this on:

10/1/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-72)

Narm dili

✺ Ek baar Aap ﷺ safar mein the. Raaste mein thhere to ek shakhs ne ek chidya ke ghonsle se us ka anda nikaal liya. Chidya ande ke maare par maarne lagi. Huzoor ﷺ ne dekha to farmaaya: "Ande waheen rakh do."

✺ Ek baar ek bhooke oont ko dekha to farmaaya: "In bezabaanon ke baare mein bhi khuda se daro." Jaanwaron par agar koi ziyaada bojh laadta to Aap ﷺ mana farma dete.

✺ Ek baar Aap ﷺ ke ghar mein kuchh aurtein ikatthhi theen. Yeh sab aurtein rishtedaar theen aur badh badh kar baatein kar rahi theen. Itne mein Hazrat Umar RaziyAllahu Anhu aaye to sab uthh kar chal deen. Huzoor ﷺ hans pade. Hazrat Umar RaziyAllahu Anhu ne kaha: "Allah aap ko hamesha hansta rakhe! Aap kyun hanse?" Farmaaya: "Mujhe in aurton par hansi aayi ke tumhaari aawaaz sunte hi chal deen." Ab Hazrat Umar RaziyAllahu Anhu ne un aurton se kaha: "Tum mujh se itna darti ho aur Huzoor ﷺ se nahin darti?" Aurton ne jawaab diya: "Pyaare Rasool ﷺ tum se ziyaada narm dil hain."

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on: