Pages

10/4/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-75)

❖ Jism-e-Mubaarak ❖

✺ Pyaare Nabi ﷺ na ziyaada lambe the na chhote qad. Na ziyaada duble the na mote. Aap ﷺ ka sar bada tha, peshaani chaudi, naak lambaai liye huwe, bhawein ghani, palkein lambi, aankhein badi badi aur surmageen, daadhi bhari huwi, gardan oonchi aur chehra khada khada tha. Aap ﷺ ke chehre par ziyaada gosht na tha. Aap ﷺ ke baal na ziyaada ghungriyaale the aur na bilkul seedhe. Aakhir umr tak baal bilkul kaale rahe. Aap ﷺ un mein aksar tel daalte. kanghi karte aur maang nikaalte the.

✺ Aap ﷺ ke donon shaanon ke beech-o-beech kabootar ke ande ke baraabar ubhra huwa surkh gosht tha, jis par til aur baal the. Donon shaane gosht se bhare huwe the, mondhon ki haddiyaan badi thien, hatheliyaan chaudi aur narm, kalaaiyaan lambi aur naazuk, paaon ki ediyaan halki theen. Paaon ke talwe beech se zara zara khaali the. Talwon ke beech se paani nikal jaaya karta tha. Huzoor ﷺ ke jism-e-mubaarak ki jild badi narm aur mulaayam thi.

✺ Rang roop gora chatta surkhi ki jhalak liye huwe tha. Aap ﷺ bade hi khoobsoorat the. Jo dekhta us ke dil mein Aap ﷺ ki muhabbat paida hojaati. Aap ﷺ ka paseena moti ki tarah jhalakta aur us mein badi achchhi khusbu aati. Huzoor ﷺ badi tez chaal chalte the. Chalte waqt aisa maaloom hota ke jaise Aap ﷺ dhalwaan zameen se utar reahe hain.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:
Email | Telegram | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment