Pages

9/30/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-71)

Narm dili

✺ Ek baar Hazrat Sa'd bin Ubaada RaziyAllahu anhu beemaar huwe, Aap ﷺ un ko dekhne gaye to Aap ﷺ ka dil bhar aaya aur Aap ﷺ rone lage, Aap ﷺ ko rota dekh kar log ro pade.

✺ Hazrat Mus'ab bin Umair RaziyAllahu Anhu Makkah ke ek raees ke bete the. Bade laad pyaar se paale gaye the. Jawaan hone par musalmaan ho gaye to maan baap dushman ho gaye, maara peeta, qaid kar diya. Ghar se nikaal diya. Ek din Hazrat Mus'ab bin Umair RaziyAllahu Anhu Huzoor ﷺ ke paas aaye to sab ne dekha ke resham ke kapdon ke badle woh ek kambal odhe huwe the, woh bhi phata huwa tha, yeh dekh kar Huzoor ﷺ ko bada dukh huwa, Aap ﷺ ne gardan jhukaali.

✺ Ek baar ek sahaabi aaye. Woh chaadar mein chidya ke bachchon ko chhupaaye huwe the. Aap ﷺ ne hukm diya: "Jaao! Unhein jahaan se laaye ho, waheen rakh aao."

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

9/29/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-70)

Narm dili

✺ Pyaare Nabi ﷺ dil ke bade narm the. Dukh ki baat hoti to Aap ﷺ ka dil bhar aata aur aansu nikal aate.

✺ Ek baar ek sahaabi ne apna puraana qissa sunaaya jab woh musalmaan nahin huwe the ke meri ek chhoti bachchi thi. Hamaare khandaan mein ladkiyon ke maar daalne ka tareeqa chala aata tha. Main ne bhi apni ladki ko zinda dafan kar diya. Woh abba abba pukaar rahi thi aur main us par mitti daal raha tha.

✺ Pyaare Rasool ﷺ yeh sun kar ro pade. Aap ﷺ ne un se kaha: Phir sunaao, unhon ne phir sunaaya to Aap ﷺ phir roye. Itna roye ke chehra aansuon se tar ho gaya.

✺ Ek ladaai mein kuchh qaidi haath aaye to Aap ﷺ ne Sahabaa RaziyAllahu Anhuma se farmaaya ke un ke saath bhalaai ka muaamla karo aur achchha sulook karo.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

9/28/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-69)

Bachchon se pyaar

✺ Pyaare Rasool ﷺ bachchon se muhabbat karte the. Aap ﷺ kaheen jaate hote, raaste mein bachche milte to Aap ﷺ unhein apne saath sawaari par kisi ko aage aur kisi ko peechhe bithha lete. Un se achchhi achchhi baatein karte. Khajoorein ya un ke dene ke laaiq kuchh cheez hoti to unhein baantte. Unhein pyaar karte. Ek baar ek baddu ne dekha to bola: "Aap bachchon ko pyaar karte hain? Mere 10 bachche hain, maine kabhi kisi ko pyaar nahin kiya." Aap ﷺ ne famaaya: "Agar Allah tumhaare dil se rahem chheen le to main kya karoon."

✺ Ek din Aap ﷺ ke paas ek sahaabi Hazrat Khaalid bin Saeed RaziyAllahu anhu aaye. Un ke saath un ki bachchi bhi thi. Us bachchi ka naam Umme Khaalid tha. Bachchi aakar Huzoor ﷺ ke kandhon se khelne lagi. Hazrat Khaalid ne daanta lekin Huzoor ﷺ ne mana farmaaya.

✺ Huzoor ﷺ ke ek gulaam the; Zaid, Aap ﷺ ne Zaid RaziyAllahu Anhu ko paala tha. Zaid RaziyAllahu Anhu ke bete Usaama RaziyAllahu Anhu the. Usaama se Huzoor ﷺ ko muhabbat thi. Farmaaya karte ke Usaama agar beti hote to main use zewar pehnaata aur apne haathon us ki naak saaf karta.

✺ Ek baar Eid ke din Aap ﷺ munh dhaank kar lete huwe the. Kuchh bachchiyaan ghar mein aaeen aur daf bajaane lageen, itne mein Hazrat Abu Bakr RaziyAllahu Anhu aaye. Unhon ne bachchiyon ko daanta. Huzoor ﷺ ne suna. Aap ﷺ ne munh par se chaadar hataai aur farmaaya : "Un ko khushi manaane do, aaj un ki Eid hai."

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

9/27/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-68)

Buraai ke badle bhalaai

✺ Makkah ke kaafir musalmanon ko kaisa sataate the. Dopahar ke waqt tapti huwi ret mein lita dete. Paani mein dupkiyaan dete, maarte peette aur qatl kar dete. Hazrat Khabbaab RaziyAllahu ahnu ko jalte huwe koylon par lita diya, jis se un ki peethh jal gai aur charbi nikal gai. Woh gusse mein aaye. Huzoor ﷺ se kaha: "Ya Rasoolallah ! In ke liye bad dua kijiye." Yeh sunte hi Huzoor ﷺ ka chehra laal ho gaya. Aur kuchh musalmaanon ne bhi bad dua karne ko kaha. Aap ﷺ ne farmaaya: "Main duniya mein rehmat bana kar bheja gaya hoon, zehmat bana kar nahin."

✺ Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu ki maan musalmaan nahin hui theen. Woh roz Huzoor ﷺ ko gaaliyaan diya karteen. Yeh gaaliyaan sun kar Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu ko bada dukh hota. Unhon ne aakar Huzoor ﷺ se kaha: "Meri maan ke liye dua kijiye.'' Aap ﷺ ne un ke liye musalmaan hone ki dua ki. To Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu khush ho gaye, daude daude ghar gaye, maaloom hua ke maan to naha rahi hai. Nahaane ke baad apne aap musalmaan hogaeen. Unhon ne Kalima-e-Shahaadat padh liya.

Ashhadu allaailaahaa illallaahu wa ashhadu anna muhammadan abduhoo wa rasooluhoo

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

9/26/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-67)

Buraai ke badle bhalaai

✺ Ek baar ek baddu aaya, woh masjid mein aakar khade khade peshaab karne laga. Log daude ke use peetein Aap ﷺ ne farmaaya: "Jaane do aur peshaab par paani bahaado aur dekho! Allah ne tumhein narmi ke liye bheja hai, sakhti ke liye nahin."

✺ Ek baar ek baddu aaya. Us ne aate hi Huzoor ﷺ ki chaadar is zor se kheenchi ke pyaare Rasool ﷺ ki gardan laal hogai aur badi sakhti se kaha ke Allah ka jo maal aapke paas hai, us mein se mujhe bhi do, Aap ﷺ ne us ki taraf mud kar dekha aur muskura kar farmaaya: ise kuchh dedo.

✺ Ek baar Makkah waalon ne Aap ﷺ ka boycott kar diya. Na kuchh khaane ko dete aur na kuchh aur zaroorat ki cheezein Aap ﷺ ke paas jaane dete. Huzoor ﷺ ke saath bachche, aurtein aur boodhe bhook ke maare tadapte. 3 baras tak isi tarah boycott raha. Jab Aap ﷺ Madeenah aaye to Yamaama ke raees Sumaama musalmaan hogaye. Unhon ne ek baar qasm khaali ke pyaare Rasool ﷺ ki ijaazat ke bagair Makkah waalon ko ek daana bhi na diya jaayega. Makkah mein galla waheen se aata tha. Ab to Makkah mein qahat pad gaya. Makkah waalon ne ghabra kar Huzoor ﷺ se kaha, Huzoor ﷺ ko taras aagaya aur kehla bheja ke Sumaama! Galla bhej do.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

9/25/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-66)

❖ Buraai ke badle bhalaai ❖

✺ Zaid bin Sa'nah ek yahoodi tha, ek baar Huzoor ﷺ ne us se qarz liya aur ada karne ki ek taareekh taye ki, magar woh taareekh se pehle hi maangne aagaya. Us ne bhari mehfil mein Huzoor ﷺ ka girebaan pakda aur Aap ﷺ ko bura bhala kehne laga ke tum taal matol kar ke meri raqm maar loge is baat par Hazrat Umar RaziyAllahu anhu ko sakht gussa aaya, bole: "O Allah ke dushman! Tu Allah ke Rasool ke baare mein aisi buri baat kehta hai?"

✺ Nabi ﷺ muskuraaye, Hazrat Umar RaziyAllahu anhu se farmaaya: Aye Umar! Tum ko chaahiye tha ke mujh se kehte ke qarza ada kardo aur us se kehte ke saleeqe se taqaaza karo, Aye Umar! Inhein lejaao aur jitna haq is ka banta hai woh de do aur jo tum ne is ko dhamkaaya hai us ke badle use 20 saa (saa ek wazan hota hai) khajoorein aur do.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

9/24/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-65)

Buraai ke badle bhalaai

✺ Pyaare Rasool ﷺ ke saath koi buraai karta to Aap ﷺ use maaf farma dete. Maaf hi nahin balke buraai ka badla bhalaai se dete. Aap ﷺ ka yeh tareeqa zindagi bhar raha. Aaye din Aap ﷺ apne dushmanon ko maaf kar dete.

✺ Huzoor ﷺ jab Makkah mein the to ek baar Taaif gaye. Aap ﷺ ne wahaan ke logon se kaha: "Allah ko ek maano mujhe us ka Rasool jaano. Aakhirat ki pakad se daro. Buton ki pooja se parhez karo. Buraaiyaan chhodo aur Allah se rishta jodo.'' Yeh sun kar Taaif waale bigad gaye. Aap ﷺ ko bahot bura bhala kaha, aawaara ladkon ko Aap ﷺ ke peechhe laga diya unhon ne Aap ﷺ par patthar barsaaye jis se Aap ﷺ lahu lahaan ho gaye. Aap ﷺ chotein kha kar gir pade. Aap ﷺ ke khaadim Hazrat Zaid bin Haarisa RaziyAllahu anhu Aap ﷺ ko uthha kar ek baag mein le gaye. Unhon ne Aap ﷺ se kaha: Huzoor! Aap Taaif waalon ke liye bad dua kiyun nahin kar dete? Aap ﷺ ne haath uthhaaye aur bad dua ke badle Taaif waalon ke liye Allah se dua ki ke aye Allah! Unhein maaf kar de. Yeh kuchh jaante nahin, aakhirat ko maante nahin, aye Allah unhein bakhsh de.

✺ Is dua ka yeh asar huwa ke aage chal kar Taaif waale musalmaan ho gaye aur un mein bade bade bahaadur log paida huwe aur phir un logon ne islaam ko khoob phailaaya.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-64)

Waade ke Sachche

✺ Badr ke maidaan mein musalmaanon ki Makkah ke kaafiron se ghumsaan ki ladaai hui, musalmaanon ki taadaad sirf 313 aur kaafiron ki taadaad 1000 thi usi zamaane mein kuchh musalmaan Makkah se aarahe the. Makkah ke kaafiron ne un ko roka aur kaha ke tum Muhammad (ﷺ) ke paas jaarahe ho, unhon ne inkaar kiya, kaafiron ne is waade par chhoda ke ladaai mein Muhammad (ﷺ) ka saath na doge, unhon ne maan liya, phir Huzoor ﷺ ke paas aaye, saara haal kaha. Aap ﷺ ne farmaaya: "Jab tum ne ladaai mein shareek na hone ka waada kiya hai to tum jaao, hamein sirf Allah ki madad chaahiye."

✺ Jab Aap ﷺ ne Makkah fatah kiya to bahot se log musalmaan ho gaye. Bahot se log bhaag gaye. Musalmaan hone waalon ne apne ghar waalon ki maafi ke liye kaha. Huzoor ﷺ ne waada farma liya. Phir jab bhaagne waale waapas aaye to Aap ﷺ he unhein sach much maaf farma diya, haalaanke un mein Aap ﷺ ke bade bade dushman the. Safwaan bin Umayyah, Ikrama bin Abi Jahal aur aise hi doosre log. Aap ﷺ ki is maafi se sab musalmaan ho gaye. Allah un sab se razi ho.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

9/22/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-63)

Waade ke Sachche

✺ Pyaare Nabi ﷺ kisi se waada karte to use zaroor poora farmaate. Jab Aap ﷺ Nabi nahi huwe the us waqt ki baat hai. Ek saahab the. Un ka naam Abdullah tha. Woh Aap ﷺ ko ek jagah mile. Len den ki koi baat hui. Unhon ne kaha: "Achchha isi jagah thhehriye, main aakar hisaab kar doonga." Yeh keh kar woh chale gaye lekin baat un ke dhyaan se utar gai. Teesre din usi taraf phir nikle dekha to Aap ﷺ waheen baithe hain. Abdullah bahot sharmaaye.

✺ Pyaare Nabi ﷺ waade ke aise sachche the ke Aap ﷺ ke dushman bhi maante the. Ek baar Rome ke baadshaah ne Abu Sufyaan se yeh bhi poochha the ke tumhaare yahaan jo saahab apne ko Nabi kehte hain, woh waade ke sachche bhi hain? Abu Sufyaan us waqt Huzoor ﷺ ke jaani dushman the lekin unhon ne baadshaah ke saamne iqraar kiya ke Muhammad waade ke sachche hain ﷺ.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

9/21/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-62)

Amaanatdaari

✺ Pyaare Rasool ﷺ bade hi amaanatdaar the. Jo log Aap ko rupiya paisa ya saamaan rakhne ko date to Aap ﷺ us saamaan ya rupiye ko badi dekh bhaal ke saath rakhte. Use apne kaam mein na laate aur na us mein kami karte. Log baahar jaate to apni cheezein Aap ﷺ ke supurd kar jaate. Aur jab aate waisi ki waisi le lete.

✺ Hazoor ﷺ ki amaanatdaari itni mash-hoor hogai ke Nabi hone se pehle hi log Aap ﷺ ko "Ameen" kehne lage the. Yaani bahot bada amaanatdaar. Jo log Aap ﷺ ki jaan ke dushman the woh bhi Aap ﷺ ko bada hi amaanatdaar samjhte the. Jab Aap ﷺ Makkah se Madeenah hijrat farmaane lage to bahot se kaafiron ki amaanatein Aap ﷺ ke paas theen. Chalte waqt sab Hazrat Ali RaziyAllahu Anhu ko deen aur bata diya ke kis kis ki amaanat hai taake woh un ko de dein.

✺ Pyaare Nabi ﷺ ne ek Hadees mein farmaaya ke jo aadmi yeh chaahta hai ke Allah aur Rasool ﷺ us se muhabbat karein use chaahiye ke jab baat kare sach bole aur us ke paas amaanat rakhi jaaye to dekh bhaal rakhe aur waapas kar de.

✺ Pyaare Nabi ﷺ ne yeh bhi farmaaya ke amaanat mein gad bad karne waala munaafiq hota hai yaani woh zabaan se chaahe apne ko musalmaan kahe lekin woh haqeeqat mein sachcha musalmaan nahin rehta.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

9/18/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-61)

Aap ﷺ sachche the

✺ Aap ﷺ ka sab se bada dushman Abu Jahal tha. Woh kaha karta tha ke "Aye Muhammad! Main tum ko jhoota nahin kehta. Haan tum jo yeh kehte ho us ko main thhek nahin samajhta." (is ka matlab Islaam ke buniyaadi aqeedon se the jo Qur'aan pesh kar raha tha) Badr ki ladaai mein jab musalmaanon ka muqaabla Makkah ke kaafiron se huwa to qureshi lashkar mein se ek sardaar Abul Bakhtari ne Huzoor ﷺ ki taraf se ishaara kar ke Abu Jahal se poochha: "Sach bata! Yeh shakhs kesa hai?" Abu Jahal ne jawaab diya: "Bada hi sachcha hai." Yeh Jawaab sun kar Abul Bakhtari ne kaha: "Tu phir musalmaan kiyun nahin ho jaata aur musalmaanon se kiyun ladta hai?" Jawaab diya: "Yeh nahin ho sakta ke main Bilaal jaise gulaamon ke saath baithhoon" (Hazrat Bilaal Raziyallahu anhu gulaam the aur us zamaane mein gulaamon ko bada hi zaleel samjha jata tha).

✺ Abu Jahal ke baad Abu Sufyaan ka number tha, yeh ek baar Rome ke baadshaah Hiraql ke darbaar mein gaye. Us ne Abu Sufyaan se Huzoor ﷺ ke mutaalliq chand sawaalaat kiye, ek sawaal yeh poochha: "Tumhaare yahaan jo shakhs apne ko Nabi kehta hai, kya us ne kabhi jhoot bola?" Abu Sufyaan ne jawaab diya: "Nahin, Muhammad jhoote nahin hain." Yeh suna to baadshaah ne kaha: "Mujhe yaqeen hai ke agar woh shakhs (Yaani Muhammad ﷺ) khuda par jhoot bolta to aadmiyon se jhoot bolne mein na chookta."

✺ Sach much bade sachche the Hazrat Muhammad ﷺ.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-60)

Aap ﷺ sachche the

✺ Pyaare Rasool ﷺ bade sachche the. Aap ﷺ ne kabhi koi jhoot baat zabaan se na nikaali. Aap ﷺ abhi Nabi nahin huwe the ke Arab waalon ne Aap ﷺ ko Saadiq (Sachcha) keh kar pukaara. Yeh Arab mein sab se bada khitaab tha. Jab Aap ﷺ Nabi huwe aur Islaam phailaana shuru kiya to bahot se log Aap ﷺ ke dushman hogaye.

✺ Dushman to hamesha taak mein rehta hi hai ke zara si baat pa jaata hai to mash-hoor kar deta hai ke fulaan aisa hai, aisa hai. Koi baat na mile to apni taraf se jhoot ghad kar keh deta hai, lekin Nabi ﷺ ke kattar se kattar dushman ne bhi Aap ﷺ ko kabhi jhoota nahin kaha. Woh Aap ﷺ ko tarah tarah se koste the, tauba tauba! Majnoon aur shaair tak kehte, jaan lene par tule the, lekin kisi ne yeh nahin kaha ke Muhammad ﷺ jhoote hain.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on: