Pages

9/21/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-62)

Amaanatdaari

✺ Pyaare Rasool ﷺ bade hi amaanatdaar the. Jo log Aap ko rupiya paisa ya saamaan rakhne ko date to Aap ﷺ us saamaan ya rupiye ko badi dekh bhaal ke saath rakhte. Use apne kaam mein na laate aur na us mein kami karte. Log baahar jaate to apni cheezein Aap ﷺ ke supurd kar jaate. Aur jab aate waisi ki waisi le lete.

✺ Hazoor ﷺ ki amaanatdaari itni mash-hoor hogai ke Nabi hone se pehle hi log Aap ﷺ ko "Ameen" kehne lage the. Yaani bahot bada amaanatdaar. Jo log Aap ﷺ ki jaan ke dushman the woh bhi Aap ﷺ ko bada hi amaanatdaar samjhte the. Jab Aap ﷺ Makkah se Madeenah hijrat farmaane lage to bahot se kaafiron ki amaanatein Aap ﷺ ke paas theen. Chalte waqt sab Hazrat Ali RaziyAllahu Anhu ko deen aur bata diya ke kis kis ki amaanat hai taake woh un ko de dein.

✺ Pyaare Nabi ﷺ ne ek Hadees mein farmaaya ke jo aadmi yeh chaahta hai ke Allah aur Rasool ﷺ us se muhabbat karein use chaahiye ke jab baat kare sach bole aur us ke paas amaanat rakhi jaaye to dekh bhaal rakhe aur waapas kar de.

✺ Pyaare Nabi ﷺ ne yeh bhi farmaaya ke amaanat mein gad bad karne waala munaafiq hota hai yaani woh zabaan se chaahe apne ko musalmaan kahe lekin woh haqeeqat mein sachcha musalmaan nahin rehta.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment