Pages

9/18/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-58)

Bahaaduri

✺ Hunain ki ladaai mein dushmanon ne musalmaanon par aise teer barsaaye ke musalmaanon ke paaon ukhad gaye aur woh tittar bittar hogaye Huzoor ﷺ apne khachchar ko ed laga laga kar aage badha rahe the. Pyaare Sahaaba RaziyAllahu Anhuma lagaam pakad pakad kar rokte aur kehte ke Huzoor! Dushman to Aap hi ki taak mein hai. Phir bhi Huzoor ﷺ aage badhte gaye. Hazrat Bra RaziyAllahu anhu ek bahaadur Sahaabi the, un se kisi ne poochha: "Kya tum log Hunain ki ladaai mein bhaag khade huwe the?" Unhon ne kaha: "Haan yeh sach hai lekin main gawaahi deta hoon ke Nabi ﷺ na ghabraaye, na peechhe hate. Khuda ki qasam! Jab ghumsaan ka ran padta to ham Huzoor ﷺ hi ke paas aakar panaah lete the. Ladaaiyon mein sab se ziyaada bahaadur woh samjha jaata tha jo Aap ﷺ ke saath khada rehta tha."

✺ Hawaazin ke muqaable mein musalmaanon ke qadam ukhde aur Huzoor ﷺ akele reh gaye to Aap ﷺ ne naara maara: "Main sachcha Nabi hoon aur Abdul Muttalib ki aulaad hoon. "Phir Abbaas se kaha: "Neze waalon lo pukaaro." Hazrat Abbaas RaziyAllahu Anhu Huzoor ﷺ ke ghode ki lagaam thaame huwe saath saath daud rahe the un ki aawaaz bahot buland thi. Unhon ne musalmaanon ko pukaara. musalmaan palat pade aur unhon ne ladaai jeet li.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment