Pages

9/18/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-61)

Aap ﷺ sachche the

✺ Aap ﷺ ka sab se bada dushman Abu Jahal tha. Woh kaha karta tha ke "Aye Muhammad! Main tum ko jhoota nahin kehta. Haan tum jo yeh kehte ho us ko main thhek nahin samajhta." (is ka matlab Islaam ke buniyaadi aqeedon se the jo Qur'aan pesh kar raha tha) Badr ki ladaai mein jab musalmaanon ka muqaabla Makkah ke kaafiron se huwa to qureshi lashkar mein se ek sardaar Abul Bakhtari ne Huzoor ﷺ ki taraf se ishaara kar ke Abu Jahal se poochha: "Sach bata! Yeh shakhs kesa hai?" Abu Jahal ne jawaab diya: "Bada hi sachcha hai." Yeh Jawaab sun kar Abul Bakhtari ne kaha: "Tu phir musalmaan kiyun nahin ho jaata aur musalmaanon se kiyun ladta hai?" Jawaab diya: "Yeh nahin ho sakta ke main Bilaal jaise gulaamon ke saath baithhoon" (Hazrat Bilaal Raziyallahu anhu gulaam the aur us zamaane mein gulaamon ko bada hi zaleel samjha jata tha).

✺ Abu Jahal ke baad Abu Sufyaan ka number tha, yeh ek baar Rome ke baadshaah Hiraql ke darbaar mein gaye. Us ne Abu Sufyaan se Huzoor ﷺ ke mutaalliq chand sawaalaat kiye, ek sawaal yeh poochha: "Tumhaare yahaan jo shakhs apne ko Nabi kehta hai, kya us ne kabhi jhoot bola?" Abu Sufyaan ne jawaab diya: "Nahin, Muhammad jhoote nahin hain." Yeh suna to baadshaah ne kaha: "Mujhe yaqeen hai ke agar woh shakhs (Yaani Muhammad ﷺ) khuda par jhoot bolta to aadmiyon se jhoot bolne mein na chookta."

✺ Sach much bade sachche the Hazrat Muhammad ﷺ.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment