Pages

8/1/16

Seerat un Nabi ﷺ (Part-1)

Seerat: Hamaare pyaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ ki zindagi ke haalaat ko  "Seerat" kehte hain.

Al Qur'aan: Haqeeqat yeh hai ke tumhaare liye Rasoolullah ﷺ ki zaat mein ek behtareen namoona hai. (Sure-e-Ahzaab: 21)

Hadees: Rasoolullah ﷺ ne farmaaya : Tum mein se koi shakhs us waqt tak kaamil momin nahin ho sakta jab tak ke main us ke nazdeek us ke waalidain, bachchon aur tamaam logon se ziyaada mahboob na ho jaaoon. (Bukhari: 15)

Allah Ta'ala ne Nabi-e-Kareem ﷺ ko qayaamat tak aane waale insaanon ki hidaayat ke liye bheja hai, hamaare Nabi ﷺ ki seerat hamaare liye mukammal rahnuma hai, is se hamein maaloom hoga ke hamaara Deen kin kin maraahil se guzra, hamaare Nabi ﷺ ne is ki hifaazat, baqa aur logon tak pohnchaane ke liye kitni takleefein bardaasht keen aur Allah Ta'ala ne kis tarah madad farmaai.

 Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on: Email | WhatsApp

❥❥ For Previous parts visit SeeratunNabisaw.blogspot.com

0 comments:

Post a Comment