❖ Baraabari ka bartaao ❖
✺ Pyaare Nabi ﷺ kisi insaan ko chhota aadmi (haqeer) nahin samajhte the, ameer ho ya gareeb, bachcha ho ya boodha, koi gulaam ho ya Laundi, bade khaandaan waala ho ya chhote khaandaan ka, kaala ho ya gora, Aap ﷺ sab ko baraabar ka insaan samajhte the aur sab ki izzat karte the.
✺ Ek din Aap ﷺ Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ke saath baithe the, itne mein kaheen se doodh aagaya, Aap ﷺ ki aadat thi ke Aap ﷺ har cheez daahini taraf se baantte the. Aap ﷺ ne zarasa doodh piya, phir daahini taraf dekha, Aap ﷺ ki daahini taraf us din Hazrat Abdullah bin Abbaas RaziyAllahu Anhu baithhe the, jo abhi bachche the, Aap ﷺ ne baayeen taraf dekha to badi umr ke Sahaab RaziyAllahu Anhuma baithhe dikhaai diye, Aap ﷺ ne Abdullah bin Abbaas RaziyAllahu Anhu se kaha: "Miyaan! Haq to tumhaara hi hai lekin agar tum ijaazat do to main pehle in badi umr ke Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ko doodh doon." Hazrat Abdullah bin Abbaas RaziyAllahu Anhu the to kam umr, lekin Allah ne unhein soojh boojh bahot ziyaada di thi. Unhon ne dil mein socha ke pyaale mein jis jagah pyaare Rasool ﷺ ke hont chhu gaye hain, us jagah sab se pehle apne hont lagaana badi barkat ki baat hai, yeh soch kar bole: "Main yeh barkat haath se na jaane doonga," yeh suna to Huzoor ﷺ ne doodh ka pyaala unheen ko de diya. Unhon ne 2 ek ghoont doodh usi jagah munh laga kar piya, jahaan se Huzoor ﷺ ne piya tha, us ke baad doosron ko de diya.
✺ Ref: Deeniyat Course book
❥❥ Share this on:
0 comments:
Post a Comment