Pages

8/1/16

Seerat un Nabi ﷺ (Part-18)

Aap Nabi hote hain

Hazrat Jibraeel عليه السلام ne Aap ko seene se laga kar bahot zor se dabaaya aur kaha: Padhye, Aap ne farmaaya: Bhai mujhe padhna nahin aata, Hazrat Jibraeel عليه السلام ne teen martaba dabaaya aur chhoda aur har baar yahi kehte the ke padhye aur Huzoor ﷺ baraabar yahi farmaate rahe ke main padhna nahin jaanta.Aakhir Hazrat Jibraeel عليه السلام ne kaha padhye.

اِقْرَأْ بِاسْمِ رَبِّكَ الَّذِي خَلَقَ

Is wahi ka naazil hona tha ke Huzoor ﷺ par risaalat ka bojh pad gaya aur Aap khauf wa haibat se kaaanp uthhe aur hai bhi yeh baat ke sainkdon baras ke gumraahon ko raah par lagaana aur sainkdon buton ke pujaariyon ko Allah ka khaalis banda banaana, aasaan kaam nahin hai. Aap ghabraaye huwe ghar tashreef laaye aur apni sachchi hamdard beewi se tamaam waaqia bayaan kiya. Bibi khadeeja RaziyAllahu anha ne dhaaras bandhaai, boleen: Aap ghabraate kyun hain Allah aap ko zaaye na hone dega. Aap neki karte hain, sadqa dete hain, gareebon ki madad karte hain, yeteemon bewaaon ko sahaara dete hain, mehmaanon ki khaatir karte hain, logon ka bojh uthhaate hain, dukhyon ko sahaara dete hain, Aap ko kis cheez ka dar hai?



❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment