Pages

8/1/16

Seerat un Nabi ﷺ (Part-17)

Aap Nabi hote hain

Makkah ke qareeb ek pahaadi thi. Us pahaadi ka naam Hira tha. Pahaadi mein ek gaar tha. Aap ﷺ Gaar-e-Hira mein jaate, sattu paani saath le jaate, kayi kayi din tak wahaan tanha rehte, Allah Ta'ala ki ibaadat karte, logon ki bhalaai ki tadbeerein sochte, buraaiyon ko mitaane aur nekiyon ko phailaane ke raaste dhoondte. Jab sattu paani khatm ho jaata, to phir ghar aate sattu paani lete aur laut jaate.

Umr ke chaaleeswein saal jab ke Aap Gaar-e-Hira mein tashreef farma the, Allah ke qaasid Hazrat Jibraeel عليه السلام Allah ka kalaam le kar aaye, jis ko "Wahi" kehte hain. Hazrat Jibraeel عليه السلام ne Aap ko bashaarat di ke Aap Allah ke Rasool hain phir kaha padhye. Arab mein us waqt padhne padhaane ka riwaaj kam tha is liye Huzoor ﷺ bhi likhna padhna nahin jaante the, Aap ne farmaaya : Main padha huwa nahin hoon.



❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment