Pages

8/2/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-25)

Hazrat Ja'afar RaziyAllahu Anhu ki taqreer

Hazrat Ja'afar RaziyAllahu Anhu ne farmaaya : Aye baadshaah ! Ham naadaan the, jaahil the, but poojte, murdaar khaate, badkaari karte. aapas mein ladte, ameer gareeb par zulm karte, na mehmaanon ki izzat hoti, na padosiyon ke saath achchha bartaao hota, bhaai bhaai se ladta. taaqatwar kamzor ko sataata. Allah ko ham par raham aaya, ham mein ek Rasool bheja, ham sab us se waaqif the, woh bahot hi nek tha, us he seedhi raah dikhaai, aapas mein muhabbat karna sikhaaya. Us ne hamein samjhaaya ke ham but poojna chhod dein, Allah ki ibaadat karein, sach bolein, wa'ada poora karein, buraaiyon se bachein, gunaahon se door rahein. yateemon ka maal na khaayein, zulm se baaz aa jaayein, aapas mein mil jul kar rahein. Ham ne use Nabi jaana, Allah ka Rasool maana, us ki baaton par amal kiya, hamaari qaum hamaari dushman ban gai, hamein sataane lagi. is liye ham apna watan chhod kar yahaan chale aaye.

Ref: (Deeniyat Course Book)



❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment