Pages

8/10/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-40)

Sulah-e-Hudaibiya

✺ Hamaare Nabi ﷺ aur muhaajireen ko madeenah aaye huwe 6 saal ho gaye the, un ko Makkah bahot yaad aata tha, un ki badi khwaahish thi ke Makkah Muazzama ja kar Khaana-e-Ka'aba ka tawaaf karein, lihaaza hamaare Nabi ﷺ ne apne 1400 saathiyon ke saath Umrah ka iraada farmaaya aur Madeenah se safar kar ke Makkah ke qareeb "Hudaibiya" naami kunwein ke paas qayaam kiya, kuffaar ne yeh khabar sun kar jang ki tayyaari shuru kardi.

✺ Hamaare Nabi ﷺ ne Hazrat Usman RaziyAllahu Anhu ke zariye Makkah waalon ko yeh paigaam bheja ke ham tum se Ladne nahin aaye sirf Umrah karne aaye hain, Lekin kaafir na maane aur mukhtalif sharton ke saath sulah ke liye tayyaar huwe, jin mein se ek shart yeh thi ke is saal musalmaan waapas chale jaayein aur aainda saal aa kar Umrah karein, doosri shart yeh bhi thi ke agar koi musalmaan Makkah se Madeenah jaaye to Madeenah waale us ko waapas kar dein aur agar koi Madeenah se Makkah aaye to Makkah waale us ko waapas nahin kareinge, is mauqe par kaafiron ne jitni shartein lagaaeein, Aap ﷺ ne sab ko manzoor farma liya aur sulah kar Li.

✺ Shuru mein musalmaanon ko is tarah dab kar sulah karna pasand na aaya, lekin jab Allah Ta'ala ne us ko musalmaanon ke liye fatah qaraar diya to musalmaanon ke dilon ko itmenaan haasil huwa.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment