Pages

8/2/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-21)

Pahaadi ka wa'az

Kuchh din baad Allah ka hukm aaya "Aye paigambar! Tum apne qareebi rishtedaaron ko Allah ke azaab se daraao." Aap ﷺ ne aisa hi kiya. Makkah ke qareeb ek pahaadi hai us ka naam "Safa" hai. Aap ﷺ us pahaadi par chadhh gaye aur Makkah waalon ko aawaaz di, jab sab log jama ho gaye to Aap ﷺ ne farmaaya: "Main pahaadi ke oopar hoon tum pahaadi ke neeche, main idhar bhi dekh raha hoon udhar bhi, (magar tumhaari nazar sirf ek taraf hai) agar main kahoon ke is pahaadi ke peechhe daakuon ki ek fauj hai jo tum par hamla karne waali hai to kya tum yaqeen karoge?"

Sab ne ek zabaan ho kar kaha, beshak Aap ooper hain har taraf dekh rahe hain, Aap Saadiq hain, Ameen hain, Aap kabhi jhoot nahin bolte, ham Aap ki baat par zaroor yaqeen kareinge.


❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment