Pages

8/2/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-23)

Allah ka Deen phailta raha

Allah ka Deen aahista aahista phailta raha, kaafir pareshaan the, kya karein, kaise haq ki raah rokein, Muhammad ﷺ akele hain, thode se saathi hain, be yaar-o-madadgaar hain, phir bhi log un ki taraf khinch rahe hain, baap daada ka deen mit raha hai. Sab mil kar Abu Taalib ke paas gaye, bole: Abu Taalib ! Saare khaandaan ki izzat khaak mein mil rahi hai, bhateeje ko rokiye, hamaare, aap ke ma'aboodon ko jhutla rahe hain, un ka kehna hai ke ibaadat ke laaiq sirf ek Allah hai, ham sab naadaan hain ke laat wa manaat ki pooja kar rahe hain, ab paani sar se ooncha ho raha hai. Abu Taalib ne kisi tarah un se peechha chhudaaya. Pyaare Rasool ﷺ apna kaam karte rahe Deen phailta raha.

Kaafir phir Abu Taalib ke paas aaye, daraaya dhamkaaya, jaan ka khauf dilaaya ! Abu Taalib soch mein pad gaye, bhateeje ko bulaaya kaha: Bete ! Mujh par itna bojh na daalo….. Pyaare Rasool ﷺ zara na ghabraaye, bole: Chacha jaan ! Yeh kaam to Allah ka hai, woh meri madad karega, agar yeh log mere ek haath mein sooraj aur doosre haath mein chaand la kar rakh dein tab bhi main is kaam se baaz na aaunga. Yeh keh kar aansu jaari ho gaye. Abu Taalib bhi mutaassir huwe bole: Jaao beta itminaan se apna kaam karte raho, main tumhein zaalimon ke haath mein na doonga.

Ref: (Deeniyat Course Book)



❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment