Hamaare Nabi ﷺ ka Nasab Shareef
Nabi-e-Kareem ﷺ ka nasab mutahhar tamaam duniya se ziyaada shareef aur paak hai aur yeh woh baat hai ke tamaam Kuffaar-e-Makkah aur Aap ﷺ ke dushman bhi is se inkaar na karsake. Abu Sufyaan (Raziyallahu Anhu) ne bahaalat-e-kufr Shaah-e-Room ke saamne is ka iqraar kiya haanlaake woh us waqt chaahte the ke agar koi gunjaaish mile to Aap par aib lagaaein.
Aap ka nasab shareef waalid maajid ki taraf se yeh hai : Muhammed bin Abdullah bin Abdul Muttalib bin Haashim bin Abd-e-Munaaf bin Qusai bin Kilaab bin Murrah bin Ka'ab bin Luwai bin Gaalib bin Fahar bin Maalik bin Nazar bin Kanana bin Khuzaima bin Mudraka bin Ilyaas bin Muzir bin Nazaar bin Ma'ad bin Adnan.
Yahan tak silsila-e-nasab ba ijmaaye ummat saabit hai aur yahaan se Hazrat Aadam (Alaihisalaam) tak ikhtelaaf hai. Is liye usko tark kiya jaata hai.
Aur waalida maajida ki taraf Aap ka nasab yeh hai Muhammed bin Aamina binte Wahab bin Abd-e-Munaaf bin Zohra bin Kilaab. Is se maaloom huwa ke kilaab bin Murrah mein aap ke waalidaihn ka nasab jama ho jaata hai.
Ref: (Deeniyat Course book)
❥❥ Share this on:
0 comments:
Post a Comment