Pages

8/11/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-41)

Fatahe Makkah Mukarramah 

✺ Sulah-e-Hudaibiya ke baad musalmaanon ko zara itmenaan huwa, tableeg-e-Islaam ke liye raaste khul gaye aur bahot saare log musalmaan hone lage, hamaare Nabi ﷺ ne is zamaane mein bahot se baadshaahon ke naam khutoot bhi likhe aur un ko Islaam ki da'awat di.

✺ Kuffaar-e-Makkah ziyaada arse tak sulah par qaaim na reh sake aur unhon ne sulah tod di, chunaanche hamaare Nabi ﷺ8 Hijri mein 10000 musalmaanon ke saath kaafiron se muqaabla karne ke liye Makkah rawaana huwe. Kuffaar-e-Makkah musalmaanon ki shaan-o-shauqat dekh kar dar gaye aur muqaable ki himmat na kar sake.

✺ Hamaare Nabi ﷺ Makkah mein apne sahaaba RaziyAllahu anhuma ke saath faatihaana daakhil huwe. Yeh wahi kuffaar the jinhon ne musalmaanon ko bahot takleefein di theein, tarah tarah ka zulm kiya tha aur Makkah se hijrat karne par majboor kiya tha, agar Aap ﷺ chaahte to her ek se badla Le sakte the, lekin Aap ﷺ ne un se badla nahin liya, sab ko maaf kar diya aur farmaaya ke aaj raham wa maafi ka din hai.
✺ Kuffaar-e-Makkah hamaare Nabi ﷺ ki khidmat mein pahonch kar maafi maangne lage, jo bhi Aap ﷺ se maafi maangta Aap ﷺ us ko maaf kar dete, us din hamaare Nabi ﷺ ne Allah ke ghar "Ka'aba" ko buton se saaf kiya aur har jaga tauheed ka na'ara buland kiya.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment