Pages

8/12/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-42)

Hajjatul Wada

✺ Fatahe Makkah ke baad Arab mein Islaam ka bol-baala ho gaya aur bahot se log Islaam mein daakhil hone lage, musalmaanon ki ta'adaad badhti chali gayi, hamaare Nabi ﷺ ne 10 Hijri mein apne 100000 se ziyaada sahaaba RaziyAllahu Anhuma ke saath haj kiya.

✺ Yeh hamaare Nabi ﷺ ka aakhri haj tha, isi haj ko "Hajjatul Wada" kehte hain. is mein hamaare Nabi ﷺ ne Arfa ke din tamaam sahaaba RaziyAllahu Anhuma ko jama kiya aur ek bahot hi muassir taqreer farmaai.
✺ is ke baad sahaaba RaziyAllahu Anhuma se sawaal kiya ke kya main ne tum tak Allah ka Deen pahoncha diya? Tamaam sahaaba RaziyAllahu Anhuma ne jawaab diya ke haan ! Aap ne Allah ka paigaam pahoncha diya aur apna fareeza ada kar diya.

✺ Us ke baad hamaare Nabi ﷺ haj ke tamaam arkaan ada kar ke saare qaafle ke saath Madeenah Tayyiba laut aaye.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment