Pages

8/1/16

Seerat un Nabi ﷺ (Part-16)

Amn ki koshish aur Hajr-e-Aswad ka faisla

Ek dafa ka zikr hai ka'aba ki marammat ho rahi thi, puraani deewaarein tod kar banaai ja rahi theen, ek deewaar mein Hajr-e-Aswad laga huwa tha, yeh ek kaala patthar tha, yeh patthar Hazrat Ibrahim عليه السلام ki yaadgaar tha, sab us ko mutabarrak samajhte the. Jab deewaar mein us patthar ko chunne ka waqt aaya, to aapas mein jhagda hone laga. Har shakhs yeh chaahta tha ke yeh mutabarrak patthar main lagaaoon. Qareeb tha ke khoon kharaaba ho jaaye, aakhir taye huwa ke jo shakhs kal subah sab se pehle ka'aba mein aaye, usi ka faisla maan liya jaaye.

Allah ka karna aisa huwa ke doosre din sabse pehle Pyaare Rasool ﷺ hi Ka'ba mein tashreef laaye. Sab ko Aap ﷺ par bharosa tha, sab ne Aap ﷺ ko faisal maan liya. Aap ﷺ ne bada achchha faisla kiya. Ek chaadar li, us mein Hajr-e-Aswad ko rakha, har qabeele ke sardaar ko ek ek kinaara pakadne ko kaha, sab ne mil jul kar uthhaaya , jab patthar wahaan tak le aaye jahaan use rakhna tha. Aap ﷺ ne use uthha kar deewaar mein laga diya. Is tarah har qabeele ko is kaam mein shareek hone ka mauqa mil gaya.

Ref: (Deeniyat Course book)



❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment