Pages

8/1/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part 10)

Hamaare Nabi ﷺ ka bachpan

Chaar saal ke huwe to ammi jaan ke paas waapas aagaye. Ammi Aap ﷺ ko dekh kar bahot khush huween, muhabbat se paalne lageen. Chhe saal ke huwe to Aap ﷺ ko le kar maike gayeen, raaste mein beemaar ho kar chal baseen. Maan baap donon ka saaya sar se uthh gaya.

Umme Aiman Aap ﷺ ko daada miyaan ke paas laayeein, daada miyaan ko bahot dukh huwa. Kya karte marna jeena Allah ke ikhtiyaar mein hai, aai hui ghadi ko kaun taal sakta hai.

Bade ho kar pyaare Rasool ﷺ ek baar maqaam-e-"Abwa" se guzre, ammi jaan ki qabr dekh kar Aap ﷺ ka dil bhar aaya. Aap ﷺ ki aankhon mein aansu dekh kar sahaaba bhi rone lage.

Ref: (Deeniyat Course book)


❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment