Pages

8/6/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-36)

❖ Madeenah Munawwarah ke haalaat  

✺ Hamaare Nabi ﷺ ne Madeenah pahonch kar sab se pehle Allah ki ibaadat aur namaaz ke liye masjid banaai, use "Masjid-e-Nabawi" kehte hain.

✺ Hamaare Nabi ﷺ ke Madeenah pahonchne se pehle qabeela-e-Aus aur Khazraj hamesha ladte rehte the, roz roz ki ladaai se woh bhi thak chuke the, is ladaai ko khatm karne ke liye woh chaahte the ke kisi ko apna baadshaah bana lein, is ke liye unhon ne ek "Munaafiq" Abdullah Bin Ubai ka naam taye kiya, lekin hamaare Nabi ﷺ ke Madeenah aane ke baad woh baadshaah na ban saka, hamaare Nabi ﷺ ne Madeenah ke haalaat dekh kar yahoodiyon ke saath sulah kar li, yahoodiyon ne zaahir mein sulah to kar li lekin andar andar jalte rahe, khaas kar Abdullah Bin Ubai bahot jalta tha.  

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment