❖ Madeenah Munuwwarah ki Hijrat ❖
✺ Aap ﷺ ke sachche dost Hazrat Abu Bakr RaziyAllahu anhu bhi Aap ﷺ ke saath ho liye aur donon mil kar Madeenah ki taraf rawaana huwe. Raaste mein ek gaar hai "Gaar-e-Saur" us mein donon chhup gaye. Kaafiron ne peechha kiya. Door door jaasoos bheje. Ek kaafir to gaar ke munh par pohancha, Hazrat Abu Bakr RaziyAllahu anhu fikr mand huwe, pyaare Rasool ﷺ ne kaha : "Daro nahin, Allah hamaare saath hai." Allah ne us kaafir ki mat maar di aur woh Aap ﷺ ko na dekh saka.

✺ Teen din ke baad Aap ﷺ Madeenah Munavvarah ko rawaana huwe. Madeenah ke log kai din se baraabar Aap ﷺ ka intezaar kar rahe the, pahonche to log bahot khush huwe, bachchiyaan geet gaane lageen aur har ek yeh chaahta tha ke Huzoor ﷺ hamaare ghar thhehrein. Huzoor ﷺ ne farmaaya: Main waheen thhehroonga jahaan oontni ja kar baithh jaayegi, yeh sharf Hazrat Abu Ayyub Ansari RaziyAllahu anhu ko mila.
✺ Ref: Deeniyat Course book
0 comments:
Post a Comment