Pages

8/2/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-24)

Habshah ki hijrat

kaafir baraabar musalmaanon ko sataate rahe, tarah tarah dukh dete rahe, pyaare Rasool ﷺ ko sataaya, pyaare Rasool ﷺ ke pyaare saathiyon ko sataaya. Jab paani sar se ooncha ho gaya, Qur'aan padhna, Allah ki ibaadat karna, Deen par chalna, doosron ko Deen ki baatein bataana, sab do bhar ho gaya to Aap ﷺ ne musalmaanon se farmaaya: "Pyaare saathiyo ! Tum ne Deen ke liye bahot dukh sahe, ab jo chaahe Mulk-e-Habsh chala jaaye. Habsh ka baadshaah Najjaashi hai, Najjaashi bahot nek hai, wahaan koi rok nahin hai, aazaadi se Deen par amal kar sakoge, Deen phailaane ka bhi mauqa milega."

Chunaanche bahot se musalmaan ghar baar chhod kar Habshah chale gaye. Kaafiron ke zulm se tang aakar watan chhod diya, Deen ki khaatir doosre mulk mein ja base, isi ko "Hijrat" kehte hain.
Magar kaafiron ne ab bhi chain na lene diya, peechha karte Habshah pahonche, Najjaashi se shikaayat ki, musalmaan darbaar mein bulaaye gaye. Hazrat Ali RaziyAllahu anhu ke bhaai Hazrat Ja'afar RaziyAllahu Anhu the. Hazrat Ja'afar RaziyAllahu Anhu musalmaanon ke sardaar the, unhon ne Najjaashi ke darbaar mein ek taqreer ki, taqreer bahot achchhi thi.



❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment