Pages

8/2/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-30)

Me'araaj

✺ Hamaare Nabi ﷺ Taaif se waapas Makkah tashreef laaye aur Makkah mein phir tableeg karne lage. Musalsal takleefon ke baad Allah ki taraf se Aap par ek in'aam huwa aur Me'araaj ka azeemushshaan waaqia pesh aaya.

✺ Nubuwwat ko das saal guzar chuke the. Ek raat hamaare Nabi ﷺ apni chachazaad behan Umme Haani ke ghar aaraam farma rahe the ke Hazrat Jibraeel عليه السلام aaye aur Aap ko me'araaj ki khushkhabri sunaai. Phir ek tez raftaar sawaari pesh ki, jis ka naam "Burraaq" tha. Jis par sawaar ho kar Aap ﷺ Makkah se Baitul Muqaddas aaye aur wahaan se saaton aasmaanon ka safar kiya, Jannat wa Jahannam ko dekha aur phir Allah Ta'ala ke darbaar mein haazir huwe, wahaan Aap ﷺ ko paanch namaazon ka tohfa mila phir Aap ﷺ usi sawaari se waapas Makkah tashreef laaye.


❥❥ Share this on: Email | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment