Pages

8/13/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-43)

Hamaare Nabi ﷺ ki wafaat

✺ Jab hamaare Nabi ﷺ ne Allah ka paigaam Allah ke bandon tak pahoncha diya aur har taraf Islaam ka kalima buland ho gaya, to Allah Ta'ala ne apne pyaare Nabi ﷺ ko apne paas bulaane ka iraada farma liya. Chunaanche safar-e-haj se lautne ke 3 maheene baad hamaare Nabi ﷺ ki tabiyat kharaab hone lagi, jab tak Aap ﷺ mein chalne ki taaqat rahi baraabar namaaz padhaane ke liye masjid mein tashreef le jaate rahe, lekin jab chalne ki taaqat khatm ho gayi to Aap ﷺ ne Hazrat Abubakr RaziyAllahu anhu ko namaaz padhaane ka hukm farmaaya.

✺ Aap ki beemaari kam ziyaada hoti rehti thi, peer ki subah Aap ﷺ ki tabiyat kuchh sambhal gayi aur Aap ﷺ ne apne hujre ka parda uthha kar sahaaba-e-kiraam RaziyAllahu anhuma ko dekha aur muskuraaye, phir achaanak tabiyat ziyaada kharaab hone lagi aur Aap ﷺ baar baar behosh hone lage, is bechaini ke aalam mein bhi Aap ﷺ farma rahe the ke tum log namaaz kabhi na chhodna aur gulaamon se nek bartaao karna. Bil aakhir 12 Rabeeul Awwal 11 Hijri ko peer ke din Aap ﷺ ki rooh-e-mubaarak jism-e-athar se nikal gayi. lnnaa lillaahi wa innaa ilaihi raaji'oon.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment