Pages

8/5/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-35)

Muhaajireen wa Ansaar ka aapas mein bhaai chaara

✺ Makkah se jo musalmaan Madeenah pahonche the, yeh "Muhaajir" kehlaaye, Muhaajir sab be sar-o-saamaan the, Madeenah ke musalmaanon ne har tarah un ki madad ki, is liye yeh log "Ansaar" kehlaaye.

✺ Pyaare Rasool ﷺ ne Muhaajireen wa Ansaar mein "Mawaakhaat" qaaim ki, yaani Ansaar aur Muhaajireen ko ek doosre ka bhaai banaaya. Phir to Ansaar ne un ko rehne ke liye ghar diye, shaadi aur biyaah karaaya, kaarobaar mein shareek kiya aur har baat mein unko apne se ziyaada samajhne lage, Allah Ta'ala ne bhi un ki ta'areef farmaai hai.

Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment