Pages

8/1/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-7)

Hamaare Nabi ﷺ ka khaandaan

Us mulk mein bahot se qabeele the, Quraish ka qabeela un mein sab se ziyaada izzat waala qabeela tha. Usi qabeele ke log Ka'aba ki khidmat karte the, saara Arab Quraish ki izzat karta tha. Pyaare Rasool ﷺ usi qabeele se the.

Aap ﷺ ke qabeele mein baaz bahot mash'hoor aadmi guzre hain, un mein ek Qusai the. Qusai apne qabeele ke sardaar the, Haj ke mauqe par saare haajiyon ko apna mehmaan banaate, teen din tak unhein muft khaana khilaate. Qusai ki aulaad mein Haashim bahot mash'hoor hain. Qabeele ke tamaam logon mein un ki badi izzat thi, Haashim bahot bahaadur aur sakhi the.

Ek baar qahat pada, Haashim ne apne paison se bahot ziyaada galla khareeda aur logon mein muft taqseem karaaya. Haashim ke kai bete the, un mein sab se mash'hoor Abdul Muttalib the, yeh bhi apne qabeele ke sardaar the.

Ref: (Deeniyat Course book)


❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment