Pages

8/1/16

Seerat un Nabi ﷺ (Part-2)

Huzoor ﷺ ki zindagi Qayaamat tak aane waale insaanon ke liye ek amali aur misaali namoona hai, us mein insaan ki infiraadi wa ijtimaai zindagi ke tamaam goshon ki saaf saaf rehnumaai maujood hai, insaan ki zindagi ka koi gosha aisa baaqi nahin hai jis mein Aap ﷺ ne rehnumaai na farmaai ho.

Rasoolullah ﷺ ki be'asat se pehle poori insaaniyat ijtimaai wa infiraadi taur pe pasti wa tanazzuli ka shikaar thi, rooe zameen par koi qaum aisi na thi, jo mizaaj ke etebaar se saaleh wa nek ho, aur na aisi koi society aur na muaashara tha, jo sharaafat-o-akhlaaq ke aalaa martabon ka haamil ho, na aisi koi hukoomat thi jis ki buniyaad adl-o-insaaf aur rahem-o-karam par mabni ho aur na koi aisa sahi Deen tha, jo insaanon ko seedha raasta bata sake.

Huzoor ﷺ ki be'asat ke baad sirf 23 saal ke arse mein poori insaaniyat ko pasti wa gumraahi ke daldal se nikaal baahar kiya, Aap ﷺ ne insaaniyat ko nayi zindagi, nayi roshni aur nayi taaqat ata ki aur umda tehzeeb, nek muaashara aur adl-o-insaaf par mabni Deen-o-mazhab ata farmaaya aur huqooqullah aur huqooqul ibaad se logon ko aagaah kiya, namaz rozah, khaana peena, sona jaagna, shaadi biyaan, jeena marna, tijaarat wa kaarobaar wagaira ka umda tareeqa bataaya, algarz zindagi ke mod par Aap ﷺ ne insaanon ki mukammal rehnumaai farmaai.

❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment