Pages

8/2/16

Seerat un Nabi ﷺ (Part-22)

Pahaadi ka wa'az

Phir Aap ﷺ ne farmaaya: "Logo ! Yeh to samjhaane ke liye ek misaal thi. Yaqeen karo, maut tumhaare sar par khadi hai. Tumhein ek din marna hai, mar kar Allah ke paas jaana hai, apne kiye ka badla paana hai, agar tum Imaan la kar nek na ban gaye, to tum par sakht azaab naazil hoga, tum sirf duniya ko dekh rahe ho aur main aakhirat ko bhi dekh raha hoon."

Makkah waalon ne Aap ﷺ ka wa'az suna, kitni sachchi baatein theen, pyaare Rasool ﷺ ne kitne achchhe dhang se samjhaaya tha, sab Aap ﷺ ko sachcha jaante the magar is sachchi baat par yaqeen na kiya, Aap ﷺ ko bura bhala kehne lage, bura bhala kehne waalon mein Aap ka chacha Abu Lahab sab se aage aage tha, bola: Kya tum ne hamein isi liye bulaaya tha?


❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment