Pages

8/2/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-31)

Madeenah Munuwwarah ki Hijrat

✺ Madeenah Munawwarah Arab ka ek mash'hoor shaher hai, yeh Makkah Mukarramah se taqreeban 455 kilo meter ke faasle par hai, Madeene mein rehne waale kuchh log but parast aur kuchh yahoodi the, but paraston ke do bade khaandaan Aus wa Khazraj the, Madeenah ke log har saal Haj ke liye Makkah jaate, pyaare Rasool ﷺ un se milte aur chupke chupke Deen ki baatein bataate, Madeenah ke log nek the, woh pyaare Rasool ﷺ ki baatein dhyaan se sunte, un mein se bahot se musalmaan ho gaye. is tarah Allah ka Deen Madeenah pahoncha.

✺ Makkah mein Deen ki baatein pohanchaate pohanchaate Aap ﷺ ko terah saal ho gaye the. Makkah waalon ne Aap ﷺ ko sataaya, jab un mein Huzoor ﷺ ki baatein sunne waala koi na raha. Ulte jaan ke darpe ho gaye. To Allah Ta'ala ne Aap ko hukm diya ke ab Madeenah ko hijrat kar jaayein. Bahot se musalmaan Madeenah ko hijrat kar chuke the.

❥❥ Share this on: Email | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment