Pages

8/1/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part 9)

Hamaare Nabi ﷺ ka bachpan

Makkah ka riwaaj tha ke log bachchon ko dehaat bhej dete. Waheen un ki parwarish hoti. Aap ﷺ ki ammi jaan ne bhi Aap ﷺ ko dehaat bhej diya. Hazrat Haleema Raziyallahu Anha ne Aap ki parwarish ki. Hazrat Haleema Raziyallahu Anha ke qabeele ka naam "Bani Sa'ad" tha is liye un ko Haleema Sa'adiya kehte hain. Woh bahot nek Bibi theen . Aap ﷺ ne un ka doodh piya.

Khuli hawa mein pale badhe, khoob tandrust huwe. Saaf suthri boli seekhi, do saal baad Makkah aaye, ammi jaan ne dekha, bahot khush huween, Makkah mein beemaari phaili thi, ammi jaan ne Hazrat Haleema Raziyallahu Anha ke saath Aap ﷺ ko phir bhej diya.

Jo Aap ﷺ ki bholi soorat dekhta Aap ﷺ ko pyaar karta, Aap ﷺ ki meethhi baatein sunta, khush hota. Aap ﷺ Bibi Haleema Raziyallahu Anha ke bachchon se muhabbat karte the, woh bhi Aap ﷺ se muhabbat karte, apne saath khel mein shareek karte, bakriyaan charaane jaate to Aap ﷺ ko apne saath le jaate.

Ref: (Deeniyat Course book)


❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment