Taaif ka safar
✺ Makkah se taqreeban pachaas meel door ek basti hai, us ka naam Taaif hai. Makkah mein Deen ka kaam karte karte bahot din ho gaye the, Makkah ka ek ek aadmi Aap ﷺ ka dushman tha. Koi Aap ﷺ ki baat par dhyaan na deta. Aap ﷺ ne socha ke ab Taaif ja kar kyun na Allah ka pyaam sunaaun. Ho sakta hai ke wahaan kuchh log sunein aur kuchh saathi mil jaayein aur mil kar Allah ke Deen ka kaam karein. Yeh soch kar Aap ﷺ Taaif gaye.
✺ Taaif ke log bahot bure the, unhon ne Aap ki baatein nahin suneen, Aap ﷺ ke saath bahot bura sulook kiya, pattharon se maara, gaaliyaan deein, sataane ke liye naadaan aur shareer bachche peechhe Laga diye. Aap Lahooluhaan ho gaye, magar bad dua na ki, baraabar dua hi karte rahe ke Aye Allah ! Yeh naawaaqif hain un ko hidaayat de. Durood ho pyaare Rasool par, salaam ho pyaare Rasool par.

0 comments:
Post a Comment