Pages

8/1/16

Seerat un Nabi ﷺ (Part 3)

Huzoor ﷺ ki paakeezah zindagi ke mutaabiq zindagi guzaarne se hi insaan haqeeqi maanon mein insaan banta hai aur isi se Allah Ta'ala aur us ke Rasool ﷺ ki sachchi mubabbat haasil hoti hai. Aur duniya wa aakhirat mein haqeeqi kaamyaabi naseeb hoti hai.

Huzoor ﷺ ki paakeezah zindagi se rukh mod kar gairon ke taur tareeqa ikhtiyaar karna badi badbakhti aur mehroomi ki baat hai, duniya mein tabaahi wa barbaadi aur aakhirat mein naakaami ka sabab hai. Is liye zaroori hai ke ham Aap ﷺ ki seerat aur aap ﷺ ke buland akhlaaq wa aala sifaat se waaqif hon aur apni infiraadi wa ijtimaai zindagi mein hamesha us par amal karne ki koshish karein.

Is unwaan ke tahat aasaan ansaaz mein Nabi-e-Kareem ﷺ ki Makki zindagi ke haalaat mukhtasaran diye gaye hain. Yeh asbaaq is tarah padhaaye jaayein ke Huzoor ﷺ ki zindagi ka mukammal naqsha zahen nasheen ho jaaye.

Seerat ki tafseeli jaankaari ke liye bawaqte zaroorat moatabar musannifeen ki likhi hui kitaabon ki taraf ruju karein ke is mazmoon ke tahat jo seerat di gai hai woh
un hi kitaabon se maakhooz-o-mustafaad hai.


❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment