Pages

8/2/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-26)

Hazrat Ja'afar RaziyAllahu Anhu ki taqreer

Najjaashi ne Hazrat Ja'afar RaziyAllahu Anhu ki taqreer suni. Taqreer bahot achchhi thi, bade gaur se suna, un ki baaton ka asar Liya, un se Qur'aan Shareef suna. Qur'aan Shareef sun kar rone lage, kaafiron ko nikalwa diya. Musalmaanon ke saath achchha bartaao kiya. Kuchh din baad khud bhi musalmaan ho gaye. Allah ki rahmat ho un par.

Pyaare Rasool ﷺ ne hijrat nahin ki, Aap ﷺ Habshah nahin gaye, Makkah mein jame rahe, dukh sehte rahe, Allah ki taraf bulaate rahe. Aap ﷺ melon mein jaate, mandiyon mein jaate, Haj ke mauqe par jagah jagah se aaye huwe logon ko Deen ki baatein bataate. is tarah rafta rafta Makkah ke baahar Deen phailta raha.


❥❥ Share this on:

0 comments:

Post a Comment