Pages

8/2/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-28)

Gam ka Saal

Ghaati se najaat paane ke kuchh hi arse baad nubuwat ke daswein saal Aap ﷺ ke meharbaan chacha Abu Taalib ka inteqaal ho gaya. Abhi chacha ka gam taaza hi tha ke wafaadaar aur jaan nisaar beewi Hazrat Khadeeja RaziyAllahu anha ki bhi wafaat ho gai. In donon waaqiaat se hamaare Nabi ﷺ ko sakht sadma pohancha. Hamaare Nabi ﷺ ne is saal ko "Gam ka saal" qaraar diya, ab Quraish ko khullam khulla sataane ka mauqa mil gaya. Pehle to Abu Taalib ke lihaaz aur Hazrat Khadeeja RaziyAllahu anha ki khaatir kuchh dabe rehte the, Lekin ab maidaan saaf tha. Mushrikeen-e-Makkah ne hamaare Nabi ﷺ ko bahot sataana aur takleefein pohnchaana shuru kar diya.


Share this on: Email | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment