Pages

8/1/16

Seerat un Nabi ﷺ (Part 4)

Hamare Nabi ﷺ se pehle

✺ Ab se koi chauda sau saal pehle ki baat hai, duniya ka bahot bura haal tha. Har taraf loot maar, chori, jhoot, dhoka, fareb, juva, sharaab, be sharmi aur be hayaai phaili thi. Poori duniya mein kufr aur shirk ka andhera chhaaya huwa tha. Allah ki marzi bataane waala koi Rasool na tha, Rasool sab ja chuke the, duniya waale gumraah ho gaye the, Allah ke baagi ban gaye the, Rasoolon ki ta'aleem bhula bhethhe the, Allah ka raasta chhod chuke the, apni man maani karte, ya apne jaise aadmiyon ka hukm maante, ya khaandaan aur biraadari ke rasm-o-riwaaj par chalte.

✺ Allah ki kitaabein bigaad di theen, un mein apni apni baatein mila rakhi theen, Log patthar ke but bana kar poojte, devi devtaaon ko poojte the, un ke naam par jaanwar zabah karte, mannat maante, chadhaawe chadhaate, ped, Pahaad, nadi, naale, jaandaar aur be jaan sab un ke ma'abood the. Garz jitne aadmi the utne hi raaste ho gaye the.

✺ Allah ka deen chhodne ka yahi nateeja hota hai. Jab duniya waale bahot ziyaada bigad gaye, bilkul hi gumrah ho gaye, to Allah ko un par raham aaya aur un ki hidaayat ke liye donon jahaan ke sardaar Hazrat Muhammed ﷺ ko bheja.

✺  Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on: Email | WhatsApp

❥❥ For Previous parts visit SeeratunNabisaw.blogspot.com

0 comments:

Post a Comment