Pages

8/26/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-56)

Ghamand na tha

✺ Huzoor ﷺ ke pyaare bete Ibrahim jis din Allah ko pyaare huwe us din sooraj gahen tha. Kisi ne kuchh is tarah ki baat kahi ke Nabi ﷺ ke bete ke gam mein sooraj ko garhen lag gaya. Aap ﷺ ne suna to farmaaya: "Galat hai. Soooraj aur chaand mein gahen lagna khuda ke hukm se hota hai. Kisi ki maut aur zindagi se aisa nahin hota."

✺ Ek baar Huzoor ﷺ wuzu farma rahe the, kuchh Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ne Aap ﷺ ke wuzu kiye huwe paani ko haathon mein le Liya aur apne chehre par malne Lage. Aap ﷺ ne poochha: "Tum yeh kyun kar rahe ho?" Unhon ne bataaya ke Allah aur Allah ke Rasool ki muhabbbat mein aisa kar rahe hain. Aap ﷺ ne yeh sun kar farmaaya ke jo Allah ke Rasool ﷺ se muhabbat karna chaahe use chaahiye ke sach bole amaanatdaar bane aur padosi ke saath achchha bartaao kare.

✺ Ek baar kisi ne baat karte karte keh diya ke jo khuda chaahe aur jo Aap ﷺ chaahe. Yeh sun kar Aap ﷺ ne farmaaya: "Tum ne mujh ko khuda ke baraabar us ka saajhi bana diya. kaho ke jo khuda chaahe."
✺ Kaisi achchhi baatein bataate the Aap ﷺ. Aap ﷺ mein zara bhi to ghamand na tha.

✺ Ref: (Deeniyat Course book)

❥❥ Share this on:

8/25/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-55)

Ghamand na tha

✺ Ek paagal aurat aagai aur kaha: Aye Muhammad! Mujhe tum se kaam hai. Aap ﷺ uthh khade huwe, woh Aap ﷺ ko ek gali mein Le gai, zameen par baithh gai, Aap ﷺ bhi zameen par baithh gaye, us ne jo kuchh kaha Aap ﷺ ne use itmenaan se suna aur us ki haajat rawaai ki. Phir jab woh uthh kar chali gai to Aap ﷺ uthhe.

✺ Huzoor ﷺ ne Makkah fateh kiya aur jab shaher mein daakhil huwe to Aap ﷺ ek khachchar par sawaar the jis ki lagaam ki jagah khajoor ki chhaal bandhi thi aur Aap ﷺ Allah ka shukr ada kar rahe the.

✺ Ek baar Aap ﷺ apne ek saathi ke ghar gaye. Aap ﷺ ko dekh kar kuchh bachchiyaan aagayeen. Un mein se kisi ne ek sher padha jis ka matlab yeh tha. "Ham mein ek aisa Rasool hai jo kal ki baatein jaanta hai'' Aap ﷺ ne yeh sher suna to use padhne se rok diya kyun ke kal ki baatein Allah ke siwa koi jaanne waala nahin hai.

✺ Ref: (Deeniyat Course book)

❥❥ Share this on:

8/24/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-54)

Ghamand na tha

✺ Allah Ta'ala ne Aap ﷺ ko apna aakhri Rasool banaaya. Sab se ziyaada Aap ﷺ ko izzat di. Allah ne Aap ﷺ ko saare Arab ki hukoomat ata farmaayi, lekin Aap ﷺ mein guroor aur ghamand zara bhi na tha. Aap ﷺ ghar ka kaam kaaj khud hi kar Lete, baazaar se sauda Le aate, doosron ka sauda bhi la dete, doodh khud doh Lete, tooti jootiyon ko khud hi gaanthh lete, gareebon aur gulaamon ke saath baithh kar khaana kha Lete.
✺ Ek din Aap ﷺ ghar se nikle. Log Aap ﷺ ko dekh kar adab se khade ho gaye, Aap ﷺ ne mana farmaaya, saath hi yeh farmaaya: Jo shakhs yeh pasand kare ke log us ki taazeem ke Liye khade hon, woh apna thhikaana Jahannam mein dhoonde.

✺ Ek baar khuchh log milne aaye. Unhon ne kaha: Aap to hamaare maalik hain. Aap ﷺ ne farmaaya: "Maalik to bas Allah hai."

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

8/23/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-53)

Sharm-o-Haya

✺ Pyaare Nabi ﷺ bade hi sharmeele the. Raasta, gali aur bazaaron mein chup chaap chalte. Badan ka jo hissa kapdon se chupaane ke laaiq hota us par bada dhyaan rakhte. Thhatthha laga kar nahin hanste the. Haajat se faarig hone ke liye inti door nikal jaate ke koi dekh na sakta. Kabhi kabhi teen teen miles door chale jaate, us waqt Arab mein gharon ke andar paakhaane banaane ka riwaaj na tha.

✺ Huzoor ﷺ ke bachpan ki woh baat sab jaante hain ke jab kaaba ki marammat hone lagi to Aap ﷺ bhi bachchon ke saath patthar dhote the, patthar dhone mein Aap ﷺ ke kandhe chhil gaye. Aap ﷺ ke chacha Abbaas RaziyAllahu Anhu ne dekha to Aap ﷺ ka tehband khol kar Aap ﷺ ke kandhe par rakh diya, ab jo Aap ﷺ ne apne aap ko nanga dekha to sharm ke maare behosh ho kar gir pade. Us zamaane mein bachche to bachche, badon mein itni sharm nahin thi, bahot se log to nange ho kar kaaba ka tawaaf karte the, koi na samajh saka ke Muhammad ﷺ kiyun behosh hogaye, sab Aap ﷺ ko hosh mein laane ki tadbeer karne lage. Aap ﷺ ko zara hosh aaya to Aap ki zabaan se nikla, "Mera tehband, mera tehband." Ab sab log samjhe ke Aap ﷺ kiyun behosh ho gaye the. Aap ﷺ ko tehband baandha gaya to Aap ﷺ ne aankhein kholeen, uthhe aur phir kaam karne lage. Kaise sharmeele the pyaare Nabi ﷺ.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

8/22/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-52)

Baraabari ka bartaao

✺ Ek baar Huzoor ﷺ kaheen jaarahe the, Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma saath the. Sab ek jagah thhehre, khaana pakaane ka saamaan huwa, sab ne ek ek kaam baant liya. Huzoor ﷺ ne jangal se lakdiyaan laane ka kaam apne zimme Liya, Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ne mana kiya ke ham to haazir hain, magar Huzoor ﷺ na maane farmaaya: "Mujhe yeh pasand nahin ke main tumhaare beech nawaab ban baithhoon. Khuda us bande ko pasand nahin karta jo apne saathiyon se alag thalag lagta ho."

✺ Ek baar kaafiron se ladaai huwi, us ladaai ke waqt musalmaanon ke paas saamaan kam tha, oont bhi kam the, musalmaan chale to sawaari ke liye ek ek oont teen teen musalmaanon ke hisse mein aaya, sab baari baari se chadhte utarte chalte. Huzoor ﷺ ne bhi aisa hi kiya. Sahaaba RaziyAllahu anhuma ne bahot kaha ke Huzoor sawaar ho kar chalein magar Aap ﷺ ne kisi ki baari nahin Li. Kaise achchhe the hamaare pyaare Nabi ﷺ..

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

8/21/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-51)

Baraabari ka bartaao

✺ Isi tarah ek baar Aap ﷺ ke daahini taraf ek baddu baithha huwa tha. Aap ﷺ ne Hazrat Anas RaziyAllahu Anhu se peene ka paani maanga. Hazrat Anas RaziyAllahu Anhu ne doodh pesh kiya. Aap ﷺ ne thodasa doodh piya aur Hazrat Anas RaziyAllahu Anhu ko de kar farmaaya ke ab daahini taraf waale ka haq hai. Isi tarah Huzoor ﷺ ke baad baddu ne piya.

✺ Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma jab mil jul kar koi kaam karte to Huzoor ﷺ bhi un mein shaamil ho jaate. Masjid-e-Nabawi banne lagi to Aap ﷺ ne sab ke saath kaam kiya. Sahaaba RaziyAllahu Anhuma rokte ke hamaari jaan Aap par qurbaan ho, Aap takleef na farmaayein lekin Huzoor ﷺ na maante. Aap ﷺ ne is mauqe par sab se ziyaada mehnat se kaam kiya, bade bade wazandaar patthar Aap ﷺ ne laakar dher kar diye, isi tarah ek baar ek khandaq khodne mein sab se ziyaada mushkil kaam Aap ﷺ ne kiya.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

8/20/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-50)

Baraabari ka bartaao
✺ Pyaare Nabi ﷺ kisi insaan ko chhota aadmi (haqeer) nahin samajhte the, ameer ho ya gareeb, bachcha ho ya boodha, koi gulaam ho ya Laundi, bade khaandaan waala ho ya chhote khaandaan ka, kaala ho ya gora, Aap ﷺ sab ko baraabar ka insaan samajhte the aur sab ki izzat karte the.
✺ Ek din Aap ﷺ Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ke saath baithe the, itne mein kaheen se doodh aagaya, Aap ﷺ ki aadat thi ke Aap ﷺ har cheez daahini taraf se baantte the. Aap ﷺ ne zarasa doodh piya, phir daahini taraf dekha, Aap ﷺ ki daahini taraf us din Hazrat Abdullah bin Abbaas RaziyAllahu Anhu baithhe the, jo abhi bachche the, Aap ﷺ ne baayeen taraf dekha to badi umr ke Sahaab RaziyAllahu Anhuma baithhe dikhaai diye, Aap ﷺ ne Abdullah bin Abbaas RaziyAllahu Anhu se kaha: "Miyaan! Haq to tumhaara hi hai lekin agar tum ijaazat do to main pehle in badi umr ke Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ko doodh doon." Hazrat Abdullah bin Abbaas RaziyAllahu Anhu the to kam umr, lekin Allah ne unhein soojh boojh bahot ziyaada di thi. Unhon ne dil mein socha ke pyaale mein jis jagah pyaare Rasool ﷺ ke hont chhu gaye hain, us jagah sab se pehle apne hont lagaana badi barkat ki baat hai, yeh soch kar bole: "Main yeh barkat haath se na jaane doonga," yeh suna to Huzoor ﷺ ne doodh ka pyaala unheen ko de diya. Unhon ne 2 ek ghoont doodh usi jagah munh laga kar piya, jahaan se Huzoor ﷺ ne piya tha, us ke baad doosron ko de diya.
✺ Ref: Deeniyat Course book
❥❥ Share this on:

8/19/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-49)

Khaatirdaari

✺ Ek din Ashaab-e-Suffa ko ziyaada bhook Lagi thi. Pyaare Rasool ﷺ un ki haalat dekh kar bechain huwe. Apni pyaari biwi Hazrat Aaisha RaziyAllahu Anha ke ghar gaye farmaaya: "Khaane ko jo kuchh ho, laao." Ummul Momineen Hazrat Aaisha RaziyAllahu Anha ne mote aate ka paka huwa khaana laakar rakh diya, phir kuchh chhuwaare laaeen, us ke baad doodh se bhara huwa bada pyaala diya, Aap ﷺ yeh sab As-haabe Suffa ke liye le aaye.

✺ Ek baar Aap ﷺ ke kuchh mehmaan aaye. Aap ﷺ ne ek biwi ke ghar kehla bheja ke mehmaanon ke liye khaana bhejein. Un ki biwi ke ghar khud faaqa tha. Aap ﷺ ne doosri biwi ke ghar kehla bheja. Wahaan bhi Allah ke naam ke siwa kuchh na tha. Isi tarah Aap ﷺ ne apni sab biwiyon ke ghar kehla bheja. Magar woh bechaari sab bhooki Allah Allah kar rahi theen aur kisi ke ghar mein daana tak na tha. Ab Aap ﷺ ne pyaare saathiyon se kaha: "In mehmaanon ko kaun kaun khaana khilaayega?" Ek sahaabi uthhe, bole "Main" aur woh mehmaanon ko apne ghar le aaye.

✺ Aur aisa to bahot baar huwa ke Huzoor ﷺ ke gharon mein khaana tayyaar kiya gaya. Itne mein mehmaan aagaye to Aap ﷺ ne mehmaanon ko khaana khila diya aur ghar ke sab log bhooke hi sorahe. Kaise khaatirdaar the pyaare Rasool ﷺ.

✺ Ref: Deeniyat Course book


❥❥ Share this on:

8/18/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-48)

Khaatirdaari

✺ Ek baar ek shakhs Aap ﷺ ke yahaan aaya, raat ko thhehra, khaa pi kar soya to raat ko use dast aagaya. Huzoor ﷺ ne use bistar diya tha, us ne bistar ganda kar diya aur subah hone se pehle ghar se bhaag gaya, Aap ﷺ ne subah ko apne haath se bistar dhoya. Woh shakhs bhaagte waqt apni talwaar yahin bhool gaya tha, darte darte talwaar ke Laalach mein aaya. Dekha to Huzoor ﷺ ko gandagi dhote paaya. Aap ﷺ ne use sharminda nahin kiya us ki talwaar use dedi aur use dilaasa diya. Woh shakhs Aap ke is bartaao se musalmaan ho gaya.

✺ Pyaare Rasool ﷺ ke pyaare saathiyon mein kuchh aise the jo Deen ki baatein seekhne ke Laalach mein har waqt Aap ﷺ ke aas paas jama rehte the. Unhein Deen ki baatein seekhne ka kitna shauq tha ke woh kamaane ke liye bhi nahin jaate the …… Masjid-e-Nabawi ke paas ek chabootra tha. Woh sab usi chabootre par uthhte baithhte aur sote, aur har waqt pyaare Nabi ﷺ ki bataai huwi baaton ko yaad karne mein Lage rehte. Un sab ke khaane peene ki zimmedaari Huzoor ﷺ ne apne sar leli thi. Yeh sab As-haabe Suffa (Chabootre Waale) kehlaate the.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

8/17/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-47)

Khaatirdaari

✺ Pyaare Nabi ﷺ apne saathiyon ke aaraam aur sukh ka bada khayaal rakhte the. Pyaare Rasool ﷺ ke ghar baahar se koi aadmi aata, chaahe woh musalmaan hota ya na hota, Aap ﷺ us ke bhi aaraam ka bada khayaal farmaate.

✺ Aap ﷺ se milne ke liye, Aap ﷺ se Deen ki baatein seekhne ke liye, Aap ﷺ se kuchh pochne ke liye, Aap ﷺ se kuchh kehne ke liye, Aap ﷺ ko dekhne ke liye, aur bahot se kaamon ke liye log Aap ﷺ ke paas aate hi rehte the, ek ek 2 2 aur ziyaada ziyaada bhi. Aap ﷺ sab ki badi khaatir karte, unhein achchhi jagah thhehraate, unhein achchha khaana khilaate, aaraam se sulaate aur raaton ko uthh uthh kar dekhte ke mehmaanon ko koi takleef to nahin, aisa bhi hota ke Huzoor ﷺ ke ghar mein khaane ko kuchh na hota aur mehmaan aajaate, is par bhi Aap ﷺ badi khushi se mehmaanon ke khaane peene ka intezaam farmaate.

✺ Ek baar ek yahoodi Aap ﷺ ke yahaan aaya, thhehra, us din Aap ﷺ ke ghar mein khaane ko kuchh na tha. Aap ﷺ ne ek bakri ka doodh pilaaya woh pi gaya lekin bhooka hi raha. Aap ﷺ ne ek bakri ka doodh aur pilaaya, woh phir pi gaya, lekin raha bhooka hi. Aap ﷺ ne use ek aur bakri ka doodh pilaaya. Woh, woh bhi pi gaya lekin raha bhooka hi. Isi tarah ek ek kar ke Aap ﷺ ne use 7 bakriyon ka doodh pilaaya.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on:

8/16/16

Seerat-un-Nabi ﷺ (Part-46)

Baat cheet

✺ Pyaare Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ko samjha diya tha ke kisi ki buraai mere saamne na karein. Main chaahta hoon ke har ek se saaf dil ho kar duniya se jaaoon. Baat cheet karte waqt Islaami tehzeeb ka bada khayaal rakhte aur us ke Liye doosron ko bhi taakeed farmaate, is baare mein ameer, gareeb sab ko tokte.

✺ Ek baar Aap ﷺ ke saamne ek bade aadmi ko chheenk aayi, unhon ne "Alhamdulillah" nahin kaha. Phir ek gareeb aadmi ko chheenk aayi to us ne kaha "Alhamdulillah" Aap ﷺ ne us ke jawaab mein "Yarhamukallah" farmaaya (tujh par khuda ki rehmat ho). Ab un bade saaheb ne shikaayat ki ke Huzoor ne mere Liye rehmat ki dua nahin ki. Aap ﷺ ne unhein jawaab diya ke tum ne Allah ki taareef nahin ki, main ne tum ko dua nahin di, unhon ne Allah ki taareef ki to main ne unhein dua di.

✺ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share this on: